You dont have javascript enabled! Please enable it! Akhir kyu? From Hatred to Love | Update 33 - KamKatha
Akhir kyu? From Hatred to Love - Incest Story by "Warewolf"

Akhir kyu? From Hatred to Love | Update 33

Mega update

Update-33

Ab tak…

Rahul (jhukte hue) : shukriya master…

Master : kesi baat karte ho rahul. Mein nahi karunga toh kaun karega…

Rahul : nahi master! Aapne mere liye bohut kuch kiya hai. Mene bhi aapko waada kiya hai. Jab mein ek uche sthaan par pohuch jaunga tab aapki har musibat me saath dunga… Aur guru dakshana bhi toh nahi dii mene abhi

Badle me master muskura dete hai.

Master : wo mein samay aane par maang lunga…

Tabhi master rahul ki taraf dhyaan se dekhte hai aur chaunk jaate hai aur uski taraf badhne lagte hai…

Ab aage…

Master rahul ke kareeb pohuch jaate hai, unki nazar batla rahi thi jese kisi cheez ko parakh rahe the…

Rahul master ko kareeb paake puch leta hai,
“Kya hua master?”

Tabhi master rahul ka haath pakad ke uski sleeve upar kar dete hai.
Aur haath pe ek patti bandhi saaf saaf sabki aankho ke saamne nazar aa jaati hai jo ointment ki wajah se halki peeli ho chuki thi.

Ek master ki nazar se kuch nahi bachta.
Unhone pehle hi rahul ki sleeve me safed patti ko dekh liya tha, jo shayad kisi aur ne gaur nahi kiya tha.

Master : ye chot!?

Rahul : wo… Master… Kuch din pehle ladayi me…

Master : kitne log the!?

Rahul : the toh kayi log par end me ek hi tha, ussi ne…

Master : ek ladka? Yakeen nahi hota ki ek ladke ne tumhe ghaayal kiya…
Kya wo martial artist tha?

Rahul : nahi master…

Master (chaunkte hue) : fir bhi??? Lagta hai tumhe aur training ki zaroorat hai…

Rahul : master wo darasal… Andhera bohut tha, raat ka samay tha…

Master kuch nahi kehte aur fir richa aur rahul ko sahi salamat monica ke saath car me ravaana kar dete hai…

Rahul pehle apni bike uthaata hai jo lucky ke adde pe thi, aur fir richa ko leke college se uski scooty uthaata jo College ke guards ne andar rakh lii thi.

Richa ko uske ghar par leke jab pohuchta hai. Toh richa ki mom aur uski behan nikita jo bohut tension me thi, wo aake gale lag ke rone lagti hai.

Richa saari baat baith kar bataati hai ki kya hua aur kese rahul ne uski jaan bachayi. Master waali baat richa nahi bataati kyuki rahul ne mana kiya tha.

Richa bataati hai ki uska phone switched off kar diya gaya tha jiski wajah se gharwaalo ka call nahi laga.

Aarti (richa aur nikita ki mom) : hey bha*waan itna sab kuch ho gaya, mene toh inhe bhi call karke bataya ki rixha ghar nahi lauti hai, Na jaane kitne phone lagae honge mene tumhe, aur rahul ko, par tumhara phone switched off aa raha tha, aur rahul toh pick hi nahi kar raha tha. Uss haram zaade rohit ki himmat kese hui meri beti ke saath aisa karne ki… Mein usse chodungi nahi…

Rahul : aunty mera phone silent par tha. I’m sorry… Aur rohit ki tension lene ki koi zaroorat nahi hai aapko.

Aarti (rote hue richa ko gale laga leti hai) : meri bacchi!! Kuch ho jaata tumko toh mein apni jaan de deti…

Richa (rote hue) : maa… Mujhe kuch nahi hua, rahul ne bacha liya aaj…
Aur aap ye jaan dene ki baat kabhi mat karna…

Nikita jo abhi tak bas aasu baha rahi thi kuch keh nahi paa rahi thi, seedha rahul ki taraf aati hai aur uski chaati se chipak ke zor se usse bheench leti hai…

Nikita (rote hue) : thank you!! Thank you…thank you so much rahul bhaiya!!
Aaj aap nahi hote toh dii…dii..

Aur nikita aasu baha ke zor zor se rone lagti hai.

Rahul bhi usse relax karte hue uski peeth thap thapata hai,
“Hey!!! It’s okay! Tumhaari dii ko kuch nahi hua… Mere rehte kese ho sakta hai usse kuch?… Hmm??”

Tabhi andar se vedant richa aur nikita ka chota bhai aa jaata hai jisko abhi jaan bujh ke sula diya gaya tha…

Vedant : arre didi aa gayi?

Tabhi aarti nikita ko ishaara karti hai aur nikita usse andar leke chali jaati hai.

Rahul : aunty aap ko ghabraane ki koi zaroorat nahi hai. Sab kuch settle ho gaya hai. FIR bhi ho gayi hai. Aur ab rohit ko jail hoegi. Yadi police waale kisi kaam se richa ko lene aaye toh bas aap ek call kar dena. Mein richa ka record ekdum clean rakhunga, job me koi dikkat nahi aaegi.

Aarti ne pehle kabhi bhi kisi ladke ko richa ke liye itna samarpit nahi dekha tha. Yaha tak ki richa ke bhai log bhi itna dhang se pesh nahi aate the richa ke chidh chidhepan ke kaaran aur yaha toh rahul jo sirf dost tha usne itna sab kar diya richa ke liye… Apni jaan ki baazi laga dii usse bachaane ke liye
Aarti ne thaan liya tha aur jaan bhi liya tha ki richa ke liye rahul se behtar ladka ho hi ni sakta. Upar se wo aur rahul ki maa nisha acche dost bhi the…

Aarti aage badh ke rahul ke chehre ko pakad ke uske maathe pe bada sa chumban kar deti hai…

Usse hi pata tha ki aaj kitni bechain thi woh, na jaane rahul ne kese bachaaya hoga richa ko… Yahi sab soch ke uske mann me rahul ke liye izzat aur bhi badh gayi.

Aarti : mene tumhaare ghar par call karke bataaya tha thi ki richa ghar par nahi hai aur pucha tha ki kya tumhaare ghar par hai? Toh pata chala tum bhi ghar par nahi ho. tumhaare ghar waale bhi pareshan honge… Unhe call kar ke bata do rahul…

Rahul fir apna phone check karta hai toh uski gaand fatt jaati hai …

11 missed calls – vanshu dii
8 missed calls – mom
6 missed calls – anshika
3 missed calls – dad
2 missed calls – tanisha dii

Rahul ke chehre pe phone ki screen dekh ke hi paseene choot jaate hai.

Dimaag : kya lagta hai? Gaand maregi?

Dil : haa… Aaj toh mein bhi tumhaare saath hu…

Rahul fati ke maare turant vanshu dii ko call lagaata hai aur forun ghar aane ka keh deta hai…

Rahul : aunty mujhe nikalna hoga… Warna zyada derr yaha ruka toh meri band bajna pakka hai aaj…

Aarti : thik hai beta… Tum bilkul bhi daro mat koi kuch bole toh bas mujh se baat karwa dena… Tum toh meri beti ke liye ek farishta ho… Itne bade khatre se usse baahar nikaala… Na keval aaj, balki iske pehle bhi… Jab ye nadaan ladki depression me thi… Na jaane kese khayaal aate honge isse… Tum hi toh the jisne inn sab se isse baahar nikaala… Aur aaj bhi… Bina apni parwaah kiye… Mein tumhaari abhaari rahungi beta….

Aur aarti ki aankhein namm ho jaati hai…

Rahul : kesi baatein karti ho aunty, mein aur richa toh already….
I mean ham sacche dost hai toh isme ehsaan waali koi baat hi nahi…
Accha aunty ab chalta hu, ghabraane ki koi zaroorat nahi hai. Aap kabhi bhi call karna mein aa jaunga, Aur haa iss baar phone silent me nahi rahega,
Haha!!

Itne me nikita bhi wapas aa jaati hai…

Tabhi rahul gate ki taraf badhne laga toh richa forun uth ke daud ke uske paas aayi aur gale se lag gayi…

Sab ke saamne richa ne koi parwaah nahi kii aur bas seene se chipak gayi.

Nikita ko toh pehle se hi pata tha ki uski richa dii rahul se pyaar karti hai toh wo shocked nahi thi.

Par hairaani waali baat ye thi ki aarti bhi shocked nahi thi. Aarti ko pata chal chuka tha ki uski beti rahul se pyaar karti hai. Kyu na karegi? Rahul ne kiya hi aisa kaam hai uske liye.
Aur aarti ki nazar me bhi rahul ek perfect ladka tha.

Rahul thoda shocked tha kyuki richa ne sabke saamne usse aise hug kiya tha.

Rahul (dheemi awaaz me) : richa… Sab dekh rahe hai…

Richa (dheemi awaaz me) : I don’t care…

Ye ladki din ba din bold hoti jaa rahi hai… ,Rahul ne socha.

Sabhi ko alvida keh ke rahul ghar pohucha toh gate khulte hi saath vanshu ne zor se hug kar liya…

Vanshu (nam aankho se) : kidhar tha? Jaldi bata!! Warna aaj tumhari kherr nahi…

Rahul : dii chill!! Andar toh aane dijiye…

Rahul andar aata aur fir saari baatein bata deta hai. Jis se ghar ke sabhi log ashcharya chakit reh jaate hai…

Nisha apne bete ke kareeb aati hai aur uska sar pakad ke apne seene se chipka leti hai…

Nisha : mera betu… I’m proud of you!! Par tumhe kuch ho jaata toh ? Bolo…

Rahul ko tabhi kal ki baatein yaad jaati hai jo raat me hui thi aur subah wo blowjob waala scene uske dimaag me mandraane lagta hai… Par mom uski itna chinta karti hai. Ye jaan ke rahul ko bohut accga lagta hai, aur khud ki harkato pe guilt feel karne lagta hai aur sad ho jaata hai. fir puraani baato ko bhul apni mom ko hug kar leta hai…

Anshika bhi chipak jaati hai. Pata nahi shayad neha ko koi galat fehmi hui hai jo rahul ke itne acche vyavhaar se vanchit hai woh… Anshika mann me soch rahi thi.

Rajesh bhi aake apne bete ko gale se laga leta hai…

Rajesh : well done son!!! I’m proud of you!! Tumne aaj jo kaam kiya hai, isse karne ki himmat sab me nahi hoti. Aaj tumne ek ladki ko darindo ke haatho se bachaya hai. Yadi vyakti tumhaari tarah himmat dikhae toh ye rape shabd sirf ek history bann ke reh jaega…
Par ab tumhe tension lene ki koi zaroorat nahi hai… Aage ki kaaryavaahi mein aur vinod (richa aur nikita ke dad) dekh lenge… Tum companies pe focus karo…

Rahul : jii dad!!

Ek taraf sabhi ne rahul ki tareefo ke pull baandhe toh wahi dusri taraf rahul ki yu tareef hote dekh neha jal bhun rahi thi…

Neha (mann me) : hmph!! Itna kya overdrama?? Huh?? Shaitaan hai ye ek insaan ke bhesh me… Bastard!!! Fuck him!!! Iska bas chale toh na jaane kya kya karde … Kya pata ye hi richa dii ka rape karwa raha ho… kyu? Kyu karte ho aap sab uss se itna pyaar!? Arre haivaan hai ye!!! hmph!! Bholi soorat bana ke sab ka dil jeetne me toh maahir hai… Aasteen ka saanp hai ye!! Mera bas chale toh abhi ghar se dhakke deke baahar nikaal du isse. Pata nahi kab tak iski shaqal dekhni padegi. Iski job lag jae toh kam se kam ghar se toh jae ye…

Mahaul ghar ka shaant ho chuka tha. Raat ke 10 baj rahe the. Aur sabhi logo ne dinner karna start kar diya…

Vanshu : by the way!! Neha tumhaara b’day aa raha hai na? Parso??

Neha : ha dii!!

Vanshu : hehe!! Fir party kidhar?

Neha apni mom ki taraf dekhne lagti hai…
Aur nisha rajesh ki taraf dekhni lagti hai…

Rajesh : neha jaha bolegi, wahi party rakh lenge… Batao neha…

Neha : abhi mene koi plan nahi banaya hai dad…

Rajesh : koi baat nahi beta. Kal planning kar lena, aur fir hum sabhi ko bula lenge party me…

Neha : jii dad!!

Anshu : nehu… Tujhe kya chahiye gift me?

Neha ek nazar rahul ki taraf ghumaati hai…

Neha (mann me) : koi bas isse hamesha hamesha ke liye mujh se door kar de… Bas wo mere liye sabse accha gift hoga

Anshu : neha!? Kaha kho gayi?

Neha : haa…wo …wo dii… Aap ko jo thik lage… Aap aacha hi dogi jo bhi dogi… (Ek baar firse rahul ki taraf dekhti hai) sivaay kuch logo ke…

Nisha ne ye baat parakh lii thi ki neha kya kehna chaah rahi thi…

Nisha : kya matlab? Kuch logo se tumhara kya matlab hai?

Neha : kuch nahi…

Nisha : dekho neha… Roz roz ki apni ye harkate sudhaar lo samajh gayi? Warna jis din mene apna aapa khoya, wo din tumhaare liye accha nahi hoga…

Neha (chidhte hue) : kya galat kaha mene? Aur aap hamesha mujhe kyu daant ti ho? Hamesha aapka beta hi kyu dikhta hai aapko? Mein bhi toh aapki beti hu na? Ya fir aapki nazro me beta zyada pyaara hai aur beti kam…??

Nisha (gusse me) : ye kya bakwaas baatein kar rahi ho? Bhulo nahi ki mein bhi kisi ki beti hu, jitna mujhe betu pyaara hai utni hi tum bhi neha…

Neha : ohhhh hooooo rahul aapke liye BETU hai… Aur mein???? Mein sirf neha????? Dikh gaya aapka pyaar…
Roz roz mujhe nahi, aapko apni harkate sudhaarni chahiye….

Nisha (tezz swar me) : nehaaaaaa….

Rajesh : shaant ho jao dono… Ye kya baat ko leke jhagadne lage…?

Anshu aur vanshu toh bilkul tensed thi aur shaant bhi. Ek maa aur beti aapas me jhagad rahi thi, beech me kya bole unhe kuch samajh nahi aaya. Aur naa hi unki himaat hui…

Neha (chilaate hue) : dad!! Aap samjha lijiye inko.
Inka ye roz ka hai. Akhir mujhe gussa nahi aata kya? Roz roz jab ye mujhe taana maarti hai. Itna hi pyaar hai apne betu se toh ussi ke saath rahe na. Mujhe ghar se nikaal hi do na. Rakha hi kyu hai??? Parwaah toh hai nahi inhe meri. Bas kuch bhi bolungi aur ye mujhe chilla ke chup karwa dengi , aur ye kuch bolega toh isko betu betu keh ke pukaarengi… Aur kya hua? Lagi iski job? Interview tha na uss din iska? Lagi ki nahi? Ghanta lagi hogi… Dinbhar baahar aere gerre lafdo me padna aur maar peet kar ke aana… Bas!!! Itni hi toh aukaat hai iski…

*Chataaaaaaaaaak*
Abhi neha iss se pehle ki aur kuch kehti nisha ne forun uth ke kheench ke ek tamaacha jadd diya neha ko.

Awaaz itni tezz thi ki yadi baahar bhi koi khada hota gate par toh usse bhi sunayi de jaati.

Chaate ki awaaz se sabhi dang reh gaye.
Itni zor se jo pada tha. Paancho ungliyo ke nishaan saaf saaf unn gore naazuk gaalo par dikh rahe the.
Poora laal ho chuka tha neha ka gaal.

*Tap…tap*
Neha ke chehre se aasuo ki boonde gaalo se fisal kar dining table par gir rahi thi. Aaj pehli baar itne saalo baad kisi ne usse thappad maara tha. Aur wo bhi uski mom ne…

Wo koi bacchi nahi thi ab…
18 saal ki ho chuki thi. Aur parso hi uska agla janamdin tha.
19 ki hone waali thi neha. Ye umr thappad khaane ki toh thi nahi ab!?

Par aaj neha shayad apni seema se kahi adhik baahar aa chuki thi jiski wajah se nisha se aur raha nahi gaya.
Nisha apni burayi sunn kar bardaasht kar leti par jab rahul ki buraayi hui toh na jaane kyu usse itna gussa aa pada ki usne forun uth ke neha ko jhaapad jadd diya.

Neha roti hui apni khaane ki thaali chodh seedha daud ke apne room me chali gayi…

Usse jaate dekh anshika ne forun pukaara,
“Nehuuuuu”

Par na toh neha ne kuch suna aur na hi wo ruki.

Anshu : mein… Mein jaa ke dekhti hu.

Nisha : khabardaar anshika!! Koi zaroorat nahi hai usse sar par chadhaane ki. Aajkal dekh rahi hu bohut zyada zubaan chalne lagi hai iski, jo muh me aata hai bakk deti hai, aur khaana chodh ke bhaagi hai na, mat khaane do… Khud bhukh lagegi toh khaa legi.

Nisha itna bol sabhi ko wapas khaana khaane ke liye kehti hai.

Par ab mahaul poori tarah shaant tha.
Tanaav tha.

Sabhi ne khaana khatam kiya aur sabhi fir apne apne room me aa gaye…

Rajesh : tumhe aise maarna nahi chahiye tha usko nisha

Nisha : toh kya karti? Aapne suna nahi kya kaha tha usne? Ek na ek dose usse dena zaroori tha, warna haath se nikal jaegi.

Rajesh : haa par kuch zyaada hi zorr se maar diya tumne usse. Bechaari ro rahi thi… Mein dekh ke aata hu.

Nisha : aap kahi nahi jaenge. Anshika hai uske saath. Sambhaal legi woh…
Mein jaati hu betu ke paas. Usse bhi bura lag raha hoga, na jaane kya kya boli hai aaj mere betu ko… Aap so jaiye.

Aur fir nisha rahul ke kamre ki or chal deti hai.

Par kya nisha rahul ko samjhaane jaa rahi thi? Ya fir uske mann me kuch aur chal raha tha???

Aaj ke liye itna hi guys!!

Please complete the required fields.




Leave a Comment

Scroll to Top