You dont have javascript enabled! Please enable it! Maya - Paison ki, Taakat ki, Jism ki - Update 74 - KamKatha
Maya - Paison ki Taakat ki Jism ki Incest-Adultery-Thriller

Maya – Paison ki, Taakat ki, Jism ki – Update 74

Update 74
Contd :-
“Good morning mom dad….” Bharat aur shalini ne saamne se aate ritu aur uske pati ko kaha
“Morning kids… Hope you slept well son in law…” Shalini ke pita ne TV on karke kaha
“Subah subah TV.. not good dad..” Bharat ne kaha aur woh apni chai peene laga
“Some US business news yaar.. Tum bhi shalini ki tarah baatein karne lagey ho han..” Shalini ke baad pe ne has ke kaha
Kuch channels flip karte karte bharat ke kaano mein ek familiar naam sunai diya..
“Dad.. ek channel peeche jaaiye..” Kehke bharat dining table se uthke sofa pe aaya.. Channel flip karke bharat news script padhne laga
“Goldan Sachs HR Manager found dead in her own house… Sharon Smith Age 29 was Single and stayed with her parents.. It is suspected that when here parents were out for an early morning walk somewhere near 6 AM, someone broke into her house and string tied her, and then killed her with this 9 inches knife.. Local police is doing everything to find out the murderer… But cameras near this house were all switched off during the time murder took place… Goldman has confirmed that Sharon was working with them and they are all in deep pain to hear this shocking news.. They r with the smith family at this tough time”
Yeh sab sunke bharat ke hath se uski chai ka cup gir pada… Bharat ko yakeen nahin ho raha tha jo abhi usne suna.. Uske per ke neeche se zameen khisakne lagi.. Woh ek dum jaise us waqt wahan tha hi nahin..
“Shaliniiiiiiiiiiiiiii.. Come here.. Shalini……” Bharat ne subakti awaaz mein kaha jise dekh ghar mein bethe teeno log chaunk gaye…
“Kya hua beta.. ” Shalini ke pita ne pucha
“What happened hubby” Shalini ne wahan aake pucha toh zameen pe tute cup ko dekh woh darr gayi
“Whats wrong bharat..” Shalini ne aagey badh ke kaha aur bharat ko bithaya
“Sharon is dead…” Bharat ne bas itna hi kaha ke uski aankhon se aansu tapakne lage… Yeh sun shalini ko bhi jhatka sa laga.. Use samaj nahin aa raha tha ke yeh sab kaise… Kuch der tak ghar pe sab khamosh rahe, aur shalini bharat ke sath hi thi.. Itne time mein usne kabhi bharat ko rote nahin dekha tha, dekhna toh chodo, usne kabhi socha bhi nahin tha ke bharat kabhi kiske liye royega…
“Bharat.. please control… And kaash kal woh call answer kar leti. Shayad hum baat karte toh kuch pata chalta in sab ke baare mein
“Shalini… Sharon se baat nahin kar paaye, par malaysia se toh sampark bana sakte hain na..” Bharat ne apni laal aankhen utha ke kaha
Bharat ki yeh baat sun, shalini jaldi se room mein daudi aur bharat ka fone le aayi… Jaldi se unhone us number pe call kiya, par koi jawaab nahin…
“She is not answering the call bharat..” Shalini ne darr wali awaaz mein kaha
Bharat ne jaldi se apne travel agent ko fone kiya aur malaysia ke liye tickets book kiye…
“Mujhe sabse jaldi wali flight mein jana hai.. I dont care about visa.. Kaise bhi lao, jitna kharcha hoga m ready ok.. Do it now…” Bharat ne chilla ke kaha .. Shalini ko aadat thi bharat ka yeh roop dekhne ki, usne jaldi se apni packing ki aur bina kuch kahe bharat ki bhi packing karne lagi.. Bharat bhi naha ke fresh ho gaya aur dono ek ghante mein mumbai ki taraf nikal gaye..Raaste pe shalini ne kuch baat nahin ki aur bharat ke dimaag mein bhi toofan utha hua tha
“U should have told me kal hi, shayad baat karti” Shalini ne bharat ko bina dekhe kaha aur bharat ne use koi jawaab nahin diya.. Mumbai pahunch ke bharat ne apne tickets aur visa papers collect kiye.. Do ghante baad dono flight mein bethe aur ab tak bharat ne koi baat nahin ki thi… Flight ke take off karte hi bharat ne kaha
“I hope everything is fine there..”
“Everything will be ok.. Khud ko sambhaalo please.. Main samajh sakti hun” Shalini ne bas itna hi jawaab diya
“U have the address” Bharat ne pucha
“yes i have it.. dont worry” Shalini ne itna kehke bharat ko pani diya aur fir dono chup ho gaye
Teen ghante ki flight mein bharat ko na jaane kaunse kaunse khayal aate rahe.. Shalini ne ise achi tarah samjha aur bharat ka hath apne hath mein le liya
“Chill please…. baby” Shalini ne bhi bheeni aankhon se kaha.. Shalini ki aankhein dekh bharat ko bhi rona aaya aur woh use hug karke subakne laga.. Dono ek dusre ko dilaasa dene lage aur kuch der mein chup ho gaye.. 3 ghante baad jab dono malaysia pahunche,unhone direct taxi lee aur driver k address de diya.. Diye hue address par pahunchne tak shalini ne ritu ko call kiya aur use sab bataya..
“please take care beta… and come soon.. we are here..” ritu ne phone rakhne se pehle kaha
Aadhe ghante mein bharat aur shalini apne diye hue address pe pahunche… Jaise hi ghar ke bahar pahunche , un dono ki aankhon mein ek tanaav sa ghirne laga.. Bilkul der na karte hue bharat ne darwaze ko knock kiya, par koi jawaab nahin.. Do teen baar knock kiya but no reply… Bharat pagal sa hone laga tha jise dekh shalini bhi ghabra gayi thi.. Bharat pagalon ki tarah darwaze ko peetne laga..
“Bharat.. yahan se aao, jaldi..” Shalini ne ghar ke peeche bane lawn ka rasta dikhaya.. Bharat aur shalini dono wahan gaye lekin wahan koi darwaza nahin tha… Kuch der wahin khade rehke bharat ne ek kaanch ki khidki dekhi.. Bharat us khidki ki taraf badha aur kaanch tod diya.. Kaanch tod ke woh ghar ke andar gaya aur jaake peeche ka darwaza khola jisse shalini bhi andar aayi.. Ghar ke andar aate hi dono idhar udhar dekhne lage… Sab normal tha, sab kuch theek pada tha, kuch gadbad nahin thi… Bharat ko samajh nahin aa raha tha woh kahan jaaye.. Usne jaldi se apne mobile ko nikala aur us nuber pe call kiya.. Ek dum shaant maahol mein shalini aur bharat ke kaan mein padi mobile bajne ki awaaz…
“bharat. its coming from down there….” Shalini ne basement ki taraf ishara karke kaha.. Ghar ke living room ke kone mein thi ek seedi jo basement mein jaati thi.. Woh dono dheere dheere us seedi ki taraf badhne lagey… Jaise jaise woh dono us seedhi ki taraf jaate, dono ke dil zor zor se dhadakte. Shalini bharat se chipak kar chal rahi thi, aur bharat bhi dhyan se dheere dheere badh raha tha, shalini ka ek hath bharat ke left side mein tha jisse usne bharat ki heart beats mehsus ki… Dono ke dil dhadakne ki awaaz saaf suni jaa sakti thi aisi daravni khamoshi mein.. Room mein seedhi ke nazdeek bani khidki se halki dhoop aa rahi thi jo halki roshni room mein thi… Shalini aur bharat dheere dheere seedhi ke neeche jaane lage, jaise jaise woh aagey badhte mobile ki ring ki awaaz tez hoti jaati… Basement mein pahunch ke pehle bharat ne light ka button khojne ki koshish ki, aur light on kar di… Basement room mein pade ek kone ki taraf ishara karte hue shalini ne kaha
“Bharat… I… th…. th… think its coming from there…” Shalini ne kone mein rakhi ek clay bag ki taraf ishara karte hue kaha.
Clay bag dekh bharat ke neeche se zameen khisak gayi, uski zindagi barbaad see lagne lagi..
“Shalini… upar jao, shayad tum yeh naa dekh paao..” bharat ne shalini se kaha
“Nahin, am scared… dono dekhte hain pls” Shalini ne bharat ko kas ke pakad liya aur dono aagey badhne lage.. Clay bag ke bahar se hi bharat ko andaza aa gaya ke andar kya hai
“Baby, please turn around” Bharat ne shalini se kaha aur shalini ne apna chehra mod diya.. Shalini ka chehre palatte hi, bharat ne us claybag ko kaanpte haathon se kholne ki koshish ki.. Dheere dheere bharat ne us clay bag ko khola… Claybag ke andar dekh bharat ka dil ruk sa gaya, uski rooh kaanp gayi
“Nidhi is dead Shalini…..” Bharat ne shalini se kaha aur dono fut fut ke rone laga…

Please complete the required fields.




Leave a Comment

Scroll to Top