You dont have javascript enabled! Please enable it! Dead Never Lie ~ A Love Story – Update 40 - KamKatha
Dead Never Lie ~ A Love Story - Written by shakespeare002

Dead Never Lie ~ A Love Story – Update 40

Update 40

Agli dopahar kareeb 12:30 par Batala highway par khade Rohan aur shekhar Nitin ke aane ka intjaar kar raha the. nitin ki car ko Rohan ne door se hi pahchan liya.. aur Shekhar ki car se utar kar usko rukne ka ishara kiya.. Nitin ne car rok di.. rohan ne Nitin se hath milaya, Sath baithi Shruti ko atpate dhang se hello bola aur pichhe wali seat par ja baitha,” agli gadi ke pichhe pichhe chalna bhai…”

————————————————————————

“toh… aapka kahna ye hai ki mere sapne ki wajah aap hi hain..” Rohan ne Shruti se poochha.. wo aur Shruti kothi ke drawing room mein akele aamne saamne baithe the.. Nitin Ravi ko lekar jaanboojh kar bahar nikal gaya tha taki Shruti bhole bhale Rohan ko aasani se uske dwara ratayi gayi baatein bol sake.. Ravi Nitin ke plan mein adanga daal sakta tha…

Shrutu Rohan ke sawaal par kuchh der chuppi sadhe rahi.. fir pahle haan mein sir hilaya aur najrein uthakar boli,” haan!”

Shruti ki shakal soorat itni pyari aur masoom thi ki agar Rohan ne Neeru ko na dekha hota toh shayad wo uske isi jawab ko ‘aakhiri jawab’ maan leta.. par ab duvidha mein uske paas poochhne ke liye aur bhi bahut sari baatein thi,” par kyun? mera matlab hai ki maine tumhe pahli baar tumhare ghar hi dekha tha.. aur shayad tumne bhi.. fir aisa kyun kar rahi thi.. aur aisa kaise ho sakta hai ki koyi jinda ladki kisi ke sapne mein aakar jo kahna chahti hai wo kah sake, uske apne paas bulane ke liye badhya kar sake..? pls mujhe sari baatein detail mein samjhao.. main bahut confusion mein hoon…”

Bolne ke liye munh kholte huye Shruti ke chehre par shikan ubhar aayi. wah jaanti thi ki ab jo kuchh bhi wah bolegi, jhooth hi bolegi.. Nitin ke kahe anusar.. jo kuchh usne yaad kar rakha tha.. wah ek swar mein bolti chali gayi.. bina ruke

“Darasal jo kuchh bhi hua hai, wo aadha maine kiya hai aur aadha bhagwan ne.. Pahle mere sapnon mein tum dikhne lage the.. main bechain rahne lagi.. tum bhi aksar wahi baatein kaha karte the jo maine tumhe sapno mein kahi hain abhi tak.. ye silsila jab mahino tak chalta raha toh haar kar mein apne gaanv ke paas ek tantrik ke paas gayi.. inn sapnon ki wajah jaan’ne ke liye.. uss ne mujhe bataya ki hamara pichhle janmon ka koyi sambandh hai.. aur isiliye mujhe aise sapne aate hain. Sath hi unhone kaha ki wo 21 din ka akhand yagya karke hamari aatmaao ko ek dusri se alag kar sakte hain taki fir kabhi mujhe aise sapne na aayein….” kahte huye Shruti achanak chup ho gayi.. Nitin ne usko aisa hi karne ke liye bola tha..

“Fir?” Rohan badi lagan se uske har shabd par visvas karta hua sun raha tha.. Shruti ke rukte hi wah bechain ho gaya,” aage batao na!”

“Unhone tumhe hamesha ke liye meri jindagi se door karne ka aaswasan diya tha.. par..” Shruti fir chup ho gayi.. iss baar nitin ki marzi ke mutabik nahi.. par jo usko bolne ko kaha gaya tha.. Shruti uski himmat nahi juta pa rahi thi…

“Par kya? bolo na!” Rohan vichlit hote huye bola….

“par.. mujhe tab tak tumse.. pyar ho gaya tha.. raat ko hi nahi.. main din mein bhi tumhare sapne dekhne lagi thi.. mujhe pata nahi chala ki kab aisa hua.. par jab tantrik ne meri jindagi se tumhe nikal dene ki baat kahi toh maine mana kar diya..” Shruti ne kaha…

“tum ruk kyun rahi ho beech beech mein.. sari baat batao na.. aage kya hua?” Rohan khud aisa sapne dekh chuka tha isiliye Shruti ki baaton par visvas na karne ka koyi matlab hi nahi tha…

“Maine unko bataya ki main aapse pyar karne lagi hoon.. aur agar hamara pichhle janmon ka koyi sambandh hai toh ham iss janam mein kyun nahi mil sakte..? Unhone kaha mil sakte ho! Maine jariya poochha toh unhone ek hi raasta bataya.. unhone kaha ki wo mujhe sapno mein aapke paas bhej sakte hain.. unhone kaha ki main jo chaho sapne mein kah sakti hoon.. baki aap par nirbhar karta hai ki aap sapne ko kaise lete hain… fir mere kahne par unhone yagya shuru kar diya.. aur main aapke sapno mein aane lagi..” Shruti ki aankhon se aansoo ludhak gaye.. Rohan ke pyar mein nahi.. ek nihayat hi shareef ladke ke saamne jhooth par jhooth bolte huye….

Please complete the required fields.




Leave a Comment

Scroll to Top