You dont have javascript enabled! Please enable it! Bujhte Diye Ke lo - Update 8 | Non-Erotic Story - KamKatha
Bujhte Diye Ke lo - A Non-Erotic Story by Ritima

Bujhte Diye Ke lo – Update 8 | Non-Erotic Story

Update 08

Aakhir wo mahos ghari aa he gayi. Mai use station tak chorne gaya. Train ke jane tak mai bhagdor kar us ke liye pani falo ka intejaam karta raha. Bede bari Man se maine use bida kiya. Mujhe laga, lagatar mere sarir ka ek hissa cutata jar aha hai par mujhe to apne hiss eke pida bhogni thi, or use apne hiss eke.

Nupur kya gayi mera sara such chain he chala gaya. Mujhe sab kuch viran sa lagne laga. Barso tak jo baat sine mai chippi thi wo fir se papdi pade gawk o kured gayi. Won a milti to acha tha. Mai jald se ghar pahuchana chata tha taki raste mai koi mujhe rota hua na dekh le.

Nupur ke yaado ne fir se mujhe tod kar rakh diya. Uske bina kuch bhi karne ko man nhi karta. Jab man jayda beechen hone lagta to use lambe lambe khat likhta or fad kar fek deta.

Is umar mai jab mai zindgi ko samtene mai vayast tha, Nupur ke parti itni chahat bani rahegi, ye pahle pata hota to kabhi us se milta he nhi. Ghante Dino mai badal gaye, Din hafto mai or hafte mahino mai. Humare bich niranter sampark bana raha. Phone ke har ghanti par mai dil ke dharkan mai teji mahsus karta.

Mera VRS accept ho gaya. Maine sahar se dur pahadi par bani ek colony mai ek flat le liya or jab Nupur ko is bare mai batayato wo bhut khus hui. Pucha, “Kab tak kabja milega.”

“Wo sab to mil chukka hai, bas, Ghureparwes baki hai.”

“Acha kab kar rahe ho Ghureparwes?”

“Jab tum aa jao. Mera duniya mai hai he kaun? 14 March tik rahegi.”

“Samjh gayi, Tumhare janamdin wale din se acha or koi din ho sakta hai. Mai kosis karungi par mera itejar mat karna.”

14 March ke din subh se he mai ne ghar gulwa kar 2 gende ke malee darwaje par latka di thi or moli maiaam ke patte bhand kar upper turan band diya. Mujhe maa ke kahe sabd yaad gaye. Wok aha karti thi, “Bahar darwaje par aam ke paate moli mai guth kar jarur bandhana qke aam hamesha harabhara rahta hai.

Aam ke patte bandhne ke baad meri gharsthi kitni haribhari rahi is ko dekhne ke liye Maa mere bich nhi thi. Unke bare mai soch kar meri aankhe bhar aayi.

Mai mithai ke dukan se ek dibba kaju katli or namkin le aaya. Dono ko Nupur ko bhut pasand the. Mujhe asha nhi viswas bhi tha ke Nupur yaha pahucne ke harsambhv pryatn karegi.

Please complete the required fields.




Leave a Comment

Scroll to Top