update 45
Vimal khana le ke ghar aata hai to pata chalta hai Dad gusse mein ghar se chale gaye hain aur der se aayenge.
Vimal Kamya se puchta hai.
Vimal : Maa kyabaat hui, aapka jhagda kyun hua dad se.
Kamya : Kuch nahi beta bas aise hi kuch galat fehmi ho gai thi.
Jassi : Galatfehmi ya kuch aur, dad ky kar rahe the maasi ke saath.
Kamya : Jassi !
Jassi : Main bachchi nahi hun maa. Sab jaanti hun aur apni ankhon se dekha hai. Tabhi maasi ro rahi thi.
Vimal : Are koi mujhe bhi kuch batayega, hua kya?
Kamya : Kuch nahi hua. Tum log khana kha lo. Main Sunita ko khana de ke aati hun.
Vimal khane ki table pe baith jaata hai.
Vimal : Jassi bata na kya hua.
Jassi : kuch nahi bhai, bhul jaa.
Vimal : Na bata, pata to kar ke rahunga. Tu batayegi to thik. Nahi to seedha kal maasi se puchunga.
Soni : Tu maasi se koi baat nahi karega. Samjha! Abhi chup chap khana kha.
Vimal : Maa ko to aane de.
Soni : Pata hai na, jab tak dad nahi aayenge maa nahi khayegi. Ab bahas mat kar.
Vimal : Main dad ko phone karta hun.
Jassi : rehne de na. gussa thanda hoga aa jayenge.
Vimal : ye ho kya raha hai aaj is ghar mein.
Soni : tu khana kha na.
Vimal apna mobile nikal kar Ramesh ko phone karta hai.
Vimal : Dad kahan ho, khana thanda ho raha hai. Jaldi ghar aao.
Ramesh udhar se : Tum khana kha lo beta, mujhe thodi der ho jaayegi.
Vimal : Dad aap aa rahe ho, ya lene aaun. Aur jayada mat pina. Aapki aavaz bata rahi hai kafi le chuke ho.
Vimal : Achcha baba aata hun.
Vimal : Dad aa rahe hain. Ruk jaao. Sab saath mein khayenge.
Jassi table se uth ke chali jaati hai.
Vimal : Ab isse kya hua.
Soni : Main laati hun use. ( aur uth kar Jassi ke piche chali jaati hai)
Vimal table pe pareshan baitha soch raha tha ki hua kya hai. Kyun Mom aur Dad ke beech jhagda hua?. Jassi kyun itna khundak mein hai? Vo baitha baitha soch hi raha tha ki soni niche aa kar Khane ki ek plate upar le jaati hai aur thodi der mein niche aa jaati hai.
Vimal : Ab ye khana kis ke liye upar le gai thi.
Soni : Jassi ke liye vo maasi ke saath upar hi kha rahi hai.
Vimal : yaar huakya hai?
Soni : Chup kar abhi raat ko baat karenge.
Itne me Ramesh bhi ghar aa jaata hai, Usne kafi pee rakhi thi, kadam ladkhada rahe the. Vimal use sahara de kar table ki taraf le ke chalta hai par Ramesh seedha apne kamre mein jaata hai aur bistar pe gir padta hai.
Ramesh ne kabhi itni nahi pii thi jitni usne aaj pi li thi. Soni upar jaa kar Kamya ko niche laati hai to andar Ramesh ke pass chali jaati hai.
Soni : Bhai fatafat kha aur ham bhi apne kamre mein chalte hain. Mom Dad ko khila dengi aur khud bhi kha legi.Parson ke liye packing bhi karni hai.
Vimal kuch nahi bolta. Fatafat apna khana khatam karta hai aur Soni ko ek najar achchi tarha dekh kar upar apne kamre mein chala jaata hai.
Soni sare bartan sambhalti hai. Ek najar maa ke kamre mein daalti hai. Halki halki aavazen aa rahi thi. ab koi jhagda nahi ho raha tha. Soni door knock karti hai andar se Kamya ki aavaz aati hai.
‘Kaun?’
‘Maa main, kuch chahiye to nahi, kitchen sab sambhal di hai maine.’
‘Kuch nahi beta jaa ke soja aur ek baar check kar lena maasi ke room mein paani hai ya nahi’
‘OK Good night Mom, Good Night Dad.’ bol kar Soni upar jaati hai. Seediyon par hi Vimal uska intezar kar raha tha.
Vimal uska haath pakadta hai to Soni chhuda leti hai. Aur dhimi aavaz mein bolti hai. ‘Kamre mein jaa main aa rahi hun. Ek baar maasi aur Jassi ko check kar lun.’