Update 44
Rohit- chalo ek kaam toh acha hua kam se kam ye toh maan gai iske baad mera level 50 tak toh jayga umid haii
In the next scene —
Ek jungle main ek ladka khel rha tha
Ladka- mom dad dekho naah didi meri baat ni maan rhi
Alka- ridhi main kahti hun tum dono ruk jao Verna acha ni hoga
Ladka- dekho naah mom kab se kah rha hun didi manti ni meri baat
Ridhi- mammy ye naah budhu hai iska dimag aap log kyu nikal diya
Ladka- ohle mela dimagu bahot teju hai moti tu deknaaa ek din main bahot bda bnuga aur fir mera dimag bhi bda ho jayga tmra dhudhu ki tarah
Ridhi- ruko tumko batati hun bahot bolne lga hai tu
Ladka- aaaaaah mammy dekho naaah kitna maar rhi hai didi mammy mammmy dekho naah
Alka- ridhi main tum dono ko kahti hun saanth ho jao smjha ab clan main waapis chalo Verna tum dono ke dad gussa krnga
Ladka- aao didi ma ma main apkaa dhyaan rakta hun hehehe
Ridhi- khud chal ni pta mera dhyaan rakhega bda aaya
Tabhi ye sabhi clan main waapis aa jate hai
Clan hall main
Elder – main kahta hun kab tak hm aisa baitha rhnge hath main hath rakha
Grand elder – santh rho 6 elder hamare paas aur koi options hai kya
4 elder – toh iska matlab ye bhi ni hai ki hm gulaam ban kar rhe
Tabhi waha par ek sakas aata hai aur kahta hai tum sab saanth ho jao main kahta hun
Tabhi waha par ek god ka successor aata hai
(Note- successor matlab aage maina hint diya tha evil god ke time jo god banana chahta hai unko god banane ke liya 99 level par hona chahiye aur god banane ke test main pass hona chahiye aur jo ye test de rha hota hai unko successor kahta hai)
Us successor ko dek kar pura clan chup ho jata hai
Successor – main god ka sandesh laya hun jaisa ki aap jante hai god ka kahna hai ki koi bhi human race ka insan beast se shaadi ni kar skta hai lekin apke previously grand elder ne aisa kiya isliya aap sab ko god ne ek mauka dena ka socha hai aap purane grand elder Aman ko clan se nikal de badla main god of dragon se maafi mil jaygii
7 elder – lekin ye toh galat hai ye rule banane ka huq apko kisne diya aur god toh human ke maamle main interfare ni kar skta
Successor ne apni divine power use ki aur dekte hi dekte kaafi elder maare gya aur kaafi zakhmi ho gya hai
Grand elder ne fir majburi main aman ko nikal diya
2 elder – senior elder alka clan main waapis aa gya kya usko aman ke bare main bta de
Grand elder – tum ruko main batata hun
Successor- main bhi tumare sath aata hun
Dono waha se alka ki taraf chal pda
Alka- grand elder aap yaha
Iske pahle ki grand elder kuch kahte successor ne apni sword se alka ka gala alg kar diya
Ladka- maaaaa maaa meri mom ko kya kiya tumne ye kya kiya kyu kiya
Ridhi- moooommmm nooo nooo
Grand elder kuch kahte tabhi aman waha aa gya
Aman- ye aapne kyu kiya aisa maina aap sab ka kya bigada tha
Grand elder –
Successor- tumne had paar kar di thi bacha
Aman- aur tum ab dekhoge had paar krna kisko kahte hai
Aman- dark world
Aman ke aisa kahte hi har taraf andhera hone lga aur dekhte dekhte hi dekhte successor aur aman ki ladai shuru ho gai
Successor- kuch bhi aisa mat karna warna apne bacho ko kho doge
Aman apne bacho ka muh dekh kar ruk gya
Jaise hi aman niche aaya grand elder ne piche se unka gala kaat diya
Ridhi- dadddd noo aap sab aisa kyu kar rha ho
Ridhi- bhaagoooo yaha se
Wo apne chote bhai ko le kar waha se bhaagi
Uski god main baitha wo ladka bs ro rha tha
Ridhi- ro mat bhai main sab thik kar dungi sab kuch tmri bahen kam wife jada abhi zinda hai naah abhi ab chup
Ridhi usko le kar waha se bahot dur aa gai wo ek village par aayi aur waha rahne lagi
Ek raat dono bhai bahen bas baitha hua tha
Tabhi waha par kuch log aate hai aur baat krta hai ki dark clan pura ka pura khatam ho gya…
Ridhi – kya
Ladka- acha hua ridhi saalo ka clan khtam hua main toh ja rha hun kal inke clan kuch powerfull rings mil jaygii
Ridhi apne bhai ko lekar waha se raat ko nikalne ka faisala karti hai
Raat ko ridhi waha se jane lagti hai tabhi waha par kuch soul master aa jate hai
Soul master – ladki khi ja rhi ho kya
Ridhi- tumse matlab
2nd Soul master – jaane de re yaar aaj bechari marna wali hai
Ridhi- bhai tu ja yaha se
2nd soul master ne apni elephant abilty use ki aur ridhi par attack karne lga ridhi bhi dark ability ke sath darkness ke sath usse ladne lagi aur tabhi piche se 1st soul master ne ridhi ke gale main talwar ghusa di
1st soul master ab bhag yaha se hamra kaam pura hua chal
Dono waha se bhaag gya aur dekhte hi dekta ridhi ki aankhen band hone lagi
Ridhi- pain idhar aao
Pain- didi aap bhi chod ke chali jaogi naah
Ridhi- shhh tu toh mera Bahadur bhai hai naah rote ni meri taraf dekh
Ridhi- ye hme khatam karna chahta hai kyuki hamare paas dark ability hai
Pain- toh hmne inka kya bigada hai
Ridhi- kyu ki dark ability hamri mom ki thi aur ye beast ki ability hai mere paas ab waqt ab khatam ho gya hai bhai tujhe apna khyaal khud rakhna padega ho ska toh mujhe maaf kar dena main ek achi bahen ni ban paayi
Pain- didi hamara clan mar gya pura pariwar mar gya bina kisi kasoor ke wo bhi sirf power ke liya aur ye niyam ye cultivation ka tarika kisne banaya
Ridhi- god ne
Ridhi- pain meri baat sun hamare sapne tum pura karna naya cultivation tarkiya dhudna powerfull banane ke level up karna ka main hamsa tumhare sath hun
Ridhi- pain mujhe bas shaanti chahiye is duniya main sabko powerfull banane ka ek mukha na ki soul ring par depend
Pain- didi didiiiii
Pain paglo jaisa chillaata rha cheekta rha lekin village ke kisi bhi log ne uski madad ni ki
Dekhte hi dekhte ridhi ka sharir bhi khatam ho chuka tha
Ek raat pain akela baitha hua tha nadi ke kinaare tabhi waha par ek shark aa jati hai
Pain uske bagal baitha tha wo apna attack karti hai lekin fir ruk jati hai
Shark ek ladki main transform ho jati hai
Pain- toh ek half human half beast ho tum
Shark- haa lekin tumko dekh rhi ho 6 manth se yahi baitha ho aisa toh maar diye jaoge
Pain- kya farak pdta hai jaoo apna kaam karo
Shark- bacha ho lekin baat toh aisi krta ho ki pucho mat
Dekhte hi dekhta shark aur pain ki dosti ho jati hai
Ek din dono raat ko baitha tha
Shark- tumhari ability dark hai isduniya ki sbse anmol ability main ek ek tum har ek element ki soul ring add krna fir dekhna koi tumko ni hra payga
Pain- tumne mujhe sb kuch sikha diya tum kya chahti ho tmri life kaisi hai
Isshe pahle wo kuch aur kahti ek spear uske seena main ghusa hua tha
Shark- bhaago pain yaha se tumne kaha tha naah main kya chahti hun life hm beast apni jaan bachate hai bas mil gya ans ab jaoo
Shark- hme bas Shanti chahiya pain hme maar kar hamri power le li jati hai hame
Shanti aur rahne ka mauka chahiye human ke sath
dekhte hi dekhta pain ka sab apne khatam ho gya
Pain- whyyyyyy whyyy ek din main is duniya main true peace launga Verna is duniya ko kahtam hona padega
Present
Pain- mujhe kuch bhi kar ke apni power level bandhani padegi Verna dikkat hogi 20 level par hi hun main mera pass 1 hi soul ring hai mera mom ki jisse mujhe ab tak ki sabse powerfull attack mila 6 path lekin ye use krna ke liya meri soul level 50 se upar honi chahiye…
Idhar rohit bhi baakiyon se toh mil hi chuka tha bs ab wo seedha ruhi ke sth 3 soul ring dhudne nikal jata hai
Rohit- kya hai yarr kam se kam btao toh soul ring ke baare main konsi soul ring dhudne chal rha hai
Ruhi- ofho baba tmko zara bhi chain ni hai naah kbhi gaand ka nasa chad jata hai kbhii power ka nasa
Rohit- wo toh kya karu main subah aise kapde hi pahne tha tumne
Ruhi- hap chinra
Rohit- hehehe
Ruhi- ye 3 soul ring hai ant ki
Rohit- ni chahiye
Ruhi- chup
Ruhi- three ant dadly ant ye ant bahot jaada khatarnak hoti hai normally ant jhund main rhti hai lekin 3 ant jhund ko chod chuki hai agr main shi hun toh ye snake tarriorty ke paass hona chahiye
Rohit- s s s nake tarriorty
Ruhi- haa snake tarriorty
Ruhi rohit ke aage chal rhi thi isliya wo uska dard ni dek saki uski aankhein main wo aasu ni dek ski
Ruhi- ye 3 ant bahot powerfull hai iske attacks ke bare main kuch ni janti hun lekin ye 3 ant hmsa sath rhti hai agr ye 3 soul ring tumne add kar li toh raat ke Andhra main tmko koi ni hara skta tum pahle hoge jiske pass 3 ant ki soul ring hogi
Rohit- thik hai main samaj gya
Ruhi- rohit yaad rhe koi galati mat karna aaj tak unse koi zinda ni waapis gya yaad rhe 1 ant 1 lakh saal purani hai yaani 3 ant 3 laakh saal purani ye red soul ring dengi umid hai syd isse hm jeet ske
Rohit- haa ye taff hai main samaj gya
Baat karta karta kab wo dono snake tarriorty ke jungle aa gya pta ni chala fir unke saamne 3 ant khadi rhti hai
Rohit- tumne ant kaha tha ye toh giant ant hai
Ruhi- shit shit shit
Rohit- kya hua
Ruhi- ye ant itni powerfull isliya hai kyuki inhone apne pura jhund ko maar kar cultivation kiya hai ye teen ke ander kya kya power hai mujhe ni pta aur ek baat ye 3 ant ke ander hi pura jhund ki power hai…
Rohit- tumne janaza uthawa diya matlab
Itna main wo teen ant uske kareeb aane lagti hai jisko dek kar hi rohit aur ruhi piche bhaagne lagte hai…