You dont have javascript enabled! Please enable it! Anjaan Rahen ~ A Passionate Love – Update 78 - KamKatha
Anjaan Rahen ~ A Passionate Love

Anjaan Rahen ~ A Passionate Love – Update 78

update 78

Vasu, Riti ko tokti hui uss se gusse ka karan puchhne lagi. Vasu ne Riti ko jaise he toka, ek jhatke me gusse se apni jagah se uthi, aur sidhe pahunch gayi Abhi ke table par. Abhi ka hath wo ladki ab bhi pakri thi, aur hans-hans kar baten kar rahi thi. Riti ko dekh Abhi hadbada gaya…. Uss ladki ka hath jaldi se chhora … Aur khada ho gaya……. Riti ghurti najron se bas Abhi ko he dekh rahi thi….
Abhi mazakiya andaz me apna aankhen mija… Aur aankhen band kar ke gane laga….
“Kisi shayar ki ghazal, dream girl, Kisi jheel ka kanval, dream girl
Kahin to milegi, kabhi to milegi, Aaj nahin to kal”
Riti ne gusse me pani se bhada glass uske muh par de mari…. “Nind khuli ya kuchh banki hai, you cheater, lofar”…..
Riti ne jaise he Abhi ke muh par pani mara… Waise he char panch log aa gaye… Sab ke sab 6 fit se upar ke the, dekhne se kharnak aur khunkhaar… Un me se ek ne bola….
“Kya hua sir… Ae ladki tu kaun hai, aur sir ke upar aise pani kyon feki”
Abhi….. “Tum log jao yahan se”….. aur phir jo ladki sath me thi.. Usse kahte huye… “Miss aap jaeye, main hun na sab solve ho jayega”….
Riti…. Tum gundey mavaali, aaj to maine khud in aankhon se dekh li, pura gange pal rakha hai, aur ladki ke sath kaise hans-hans kar baat kar rahe the”….
Abhi muskurata hua…. Phir to ye bhi dekhi hogi … Yahan resturent me khana khata hun….
Riti… To zahar ka bhi order de do na… Mujhe iss se kya….
Abhi … “To puchh rahi hain madam…. To baat ye hai ki…… Zaroorat hai zaroorat hai… Sakht zaroorat hai… Zaroorat hai zaroorat…..Hai zaroorat hai….. Ek shrimati ki kalawati….. Ki sewa kare jo pati ki”
Riti… Gunda kahin ka … Kidnap kar lo kisi ko bhi, gun ke darr se to koi bhi tumhara khana paka degi….
Ek waiter jo abhi unke pass aaya tha, wo Riti ki baat sunkar chaukte huye kahne laga….. Madam aap kuchh confuse dikhti hain, kyonki sir jo hain, wo Delhi ke SP hain…
Riti chaukte huye …. “Kya” uske muh se nikal gaya, aur wo Abhi ki ore hairani se dekhne lagi… Abhi bhi chup-chap apna i’d card nikal kar usse de diya….
Police SP ki i’d card dekh kar Riti pahle to khush hui… Phir achanak he gusse me chehra uska laal ho gaya… Aur wo card Abhi ki ore fenkti hui, wahan se teji se nikli…. Riti ko jate dekh, uske puchhe-pichhe Vasu bhi nikli… Aur un dono ke pichhe SP sahab.
Pichhe se awaz deta hua…. “O’ madam ab aisa kya kah diya, had hai, tumhe kya police wale pasand nahi, kaun sa job kahogi … Abhi kah do, main wahi kar dunga, par yun ruth ke na jao baby, dil baith jata hai”
Riti aage chati hui he gusse me jabaw dene lagi….. Apna i’d card dekho jhootey, tumhe sab samjh me aa jayega….
Abhi chillate huye … Gusse me main aap se tum par bhi aa gaya… Dekhne to do i’d me kya ho gaya aisa, jo madam ka para chadh gaya…. O’ madam waise sun lo ek baat … Main bas tumhi se mara jata hun baat karne ke liye … Par tum ho ki meri feeling samjhti he nahi.
Abhi ne jab apni i’d dekhi to sir par apne ek hath mara … Aur teji se Riti ke samne ho gaya… Apne dono kaan pakdey … Aur kahne laga … “Main iss sahar ka SP… Log mujh se darte hain, aur main tum se … Pls ab maaf bhi kar do. Manta hun thode bahut jhoot bole hain, par koi bara crime nahi kiya”….
Riti…. Main baat he kyon kar rahi hun iss se, chalo Vasu hum chalte hain…
Vasu ne phir ek thappad jaldi-jaldi dono ko khinch kar di…. “Dono jab sath hote ho, to mujhe out he kar dete ho, aur ghanto baad main sirf ghar jane ke liye yaad aati hun. Pagal Riti, khud gussa karke baad me roti hai… Ab to sab sach pata hai, phir ab aisa natak kyon”….
Abhi…. Tumhe to police me hona tha Vasu, jab dekho tab chipka deti ho… Achha hai koi hai nahi yahan, nahi to media ki pahli khabar ye hoti. Mujhe mari to mari, par Riti ko kyon mari….
Riti…. Vasuuuu …. Isne phir jhoot kaha … Iska naam Nain hai…
Abhi muskurate huye…. Yess I am Nain, par log mujhe pyar se Nainu kahte hai… Mujhe please 15 min do main sab samjhta hun …..
Phir Nainu ne apni biti jindgi ke wo raaj bataye jis se uska dil toot gaya tha. Usne batya ki kaise Saily apne gusse aur badle me andhi hokar, do doston ko alag kar di, aur ye bhi ki uss waqt Riti aur Saily dono sath rahte the, isliye usne apna sahi naam nahi bataya.
Sari sachai sun’ne ke baad … Riti ko bada ascharya hua ki koi ladki apna badla lene ke liye itni planning bhi kar sakti hai. Lekin Vasu aur Riti dono Saily ka gussa aur bad-dimag soch dekh chuki thi, isliye usse yakin ho chala tha Nainu ki baat sun kar.
Jab sare gile sikwe dur huye, to rah gayi thi inke bich sirf khamoshi…. Dono phir se ek dusre me kho gaye …. Najre jaise ek dusre par jami hui …. Aur kahin koi nahi teesra iss mahol me ……
Kahin Aag Lagne Se Pehle
Uthta Hai Aisa Dhuaan
Jaisa Hai Idhar Ka Nazaara
Vaisa Hi Udhar Ka Samaa
Dil Mein Kaisi Kasak Si Jagi
Dono Jaanib Barabar Lagi
Dekho To Idhar Se
Dekho To Idhar Se Udhar Chupke Chupke
Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke
Sabko Ho Rahi Hai
Haan Sabko Ho Rahi Hai
Khabar Chupke Chupke
Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke
Vasu bhi dono ko dekti hui… Wahan se chup-chap nikal gayi. Aaj uska bhi mann na hua ki dono ko kisi bhi tarah se distrub kiya jaye… Shant khamosh akele chhor kar wo bhi nikal aayi.
Dono khamosh bas ek dusre ko nihare he ja rahe the, tabhi achanak mausam ne aisi palti mari ki barish ki fuharen dono ke upar parne lagi…. Dono ka dhyan toota aur … Dono kisi jagah chhipne ke liye bhage …..

Please complete the required fields.




Leave a Comment

Scroll to Top