Update 71
Vasu bhi Riti ke pichhe-pichhe pahunchi, aur uske sir par hath ferti usse shant karne ki kosis karne lagi. Lekin ye kisi chot ya maar ka dard nahi tha, jo thik ho jata. Indu ki baton ne Riti ke dil par aaghat kiya tha, aur aise jab bewajah ghinaune ilzam lagte hain, to bas dil ko wo baten chir jati hai.
Sam bahut he khamosh si gujr rahi thi sabki, jahan Saily nashe ki aagoah me thi, wahin Indu ek baar phir apne sapney pure karne Vikki ki bataye rahon par chal chuki thi, aur Saily ko lekar uske dimag ne pahle he kuchh soch rakha tha.
Riti ki haalat ko dekhti Vasu usse apne sath bahar le aayi, taki wo Indu ki baton se bhula sake. Gumsum Riti, bas Indu ke baton par ghut’ti hui, Vasu ke sath bajaar pahunchi. Dono abhi ghum he rahi thi bajaar, ki ek baar phir Riti ki najaron ne achanak he karwat liya, usse laga ki jaise Abhi daurta hua wahan se nikla ho.
Riti, Vasu ka hath khichti huyi apne sath le jane lagi….
Vasu….. Kya hua Riti, aise hath kyon khinch rahi hai….
Riti…. Vasu wo abhi yahan se daurte huye nikle..
Vasu… Wo kaun Riti…
Riti…. Arre Abhi, aur kaun chal na jaldi, wo nikal jayenge. Chal na chal na please…..
Vasu khud se he kahti hui…… “Isse bhi na pata nahi ye Abhi kahan se dikh jata hai, mana bhi ki thi 5 din ruk ja, phir bhi ek baar dekh kya li, uss se milne ko bechain, mari ja rahi hai. Iss waqt iski baat maan leti hun, kam se kam Indu ki baton ko to bhula degi”.
Vasu yun to abhi gussa hoti, kyonki 5 din ka kahi thi par aaj to ye 4th day he tha. Lekin Riti aaj saam se itnu mayus thi ki Vasu ne socha chalo yadi Abhi hua to Riti ka mann kuchh to bhula rahega.
Vasu, Riti ke sath chal di ussi ore, phir se takriban ek kilometer ka chakkar lagayi hogi ki Abhi dikh gaya. Dhundte, aur paidal chalte dono itne thak gaye the ki sasen chadh aayi thi… Apni sason ko dono samanya he kar rahi thi, ki ek jor ki awaz aayi…..
“Chhor do mujhe, main mar jaungaaaa”
Riti aur Vasu awaz sunkar chaukti hui, apni najaren utha kar dekhi…. Samne Abhi phir aaj kisi ko maar raha tha….
Riti dekhi to uska para chadh gaya, ek to Indu ne aaj uske dil ko dukhya upar se Abhi ko phir ek baar mar-pit karte dekh Riti pure gusse me aa gayi…..
Wo teji se pahunchi, Abhi usse marne ke liye lohe ki sariya uthaya he tha, ki uska hath wo pakad kar, kaphi gusse me dekhne lagi…..
“Ab ye yahan kaise pahunch gayi, isse aur koi kaam nahi kya. Aankhon se to lag raha hai bari gusse me hai, chal beta koi kahani bana to de jarra”…
Mann me khyal banaye, Abhi bolne ke liye muh khola he tha, ki Riti jor se dant di Abhi ko…. “Chup… Kuchh mat bolna, koi baat nahi abhi”….. Phir uss aadmi ko dekhti hui…. “Ab kya mar khane ke liye ruke ho, bhago yahan se”.
Uss aadmi ne bari si najar kar ke Riti ko dekha, Riti phir teji se usse kahti hui…. “Aise aankhen phad kar ke kya dekh rahe ho, aur mar khani hai kya ? Chalo bhago yahan se jaldi”.
Riti ki baat sukar wo aise bhaga jaise gadhe ke sir se sigh. Abhi bhi uske pichhe jane he laga tha, ki Riti uska hath tham’ti hui …. “Mann nahi bhada kya abhi bhi, usse itna maar kar jo aur pitne ke liye uske pichhe ja rahe ho”
Abhi thoda gussa dikhata hua…. Pagal kitna muakil se pakda tha, bhaga di….
Vasu… Lekin pakdey he kyon the, tum normal ho ki nahi. Jab dekho tab kisi na kisi ko pit’te rahte ho. Kah do ye bhi tumhare mom ke sath badtamiji kar raha tha. Lagta hai jaise puri Delhi tumhare aur tumhare mom ke pichhe para hai.
Bechara Abhi, koi sun’ne wala nahi uski, ek to uake sikar ko bhaga diya upar se dono ladkiyan pure gusse me.
Abhi…. Bata to dete dono, ki yahin aa rahe ho, main ye karykram kahin aur kar leta.
Riti…. Par karte jaroor. Chal Vasu, gundey mavaliyon ki koi baat nahi sun’ni
Itna kah kar dono teji se mud gayi… Abhi khada sochta raha…. “Bhagwan, kya chahte ho, pahli baar koi pasand aayi hai, usse bhi tum hath se nikal doge. Suni bhi nahi meri baat, aandhi ki tarah aayi aur toofan ki tarah suna kar chali gayi. Aadmi bhi gaya ladki bhi gayi, main khada bas hath malta rah gaya”.
Mann ki kalpna ko todte huye … Pichhe se dono ko chillakar rokne laga…. “Ruko to sahi, suno to”…..
Riti bina mude he jabaw deti…. “Jhoote, lier, mujhe koi baat nahi sun’ni”… “tumhe sun leni chahiye uski baat” …
Samne se ek khubsurat mohtrma ne Vasu aur Indu ka rasta rokte huye apni baat kahi, Abhi jab usko dekha to sir pit liya…. “Bhagwan, ek he din itne surprise jaroori the kya ? Bera gark ho, isse bhi abhi he aana tha, sare “rahu-ketu” meri he kundli me dera jamaye hain, upar se ye “sani” bhi aa tapki”.
Abhi bhagta hua sab ke pass pahuncha, ajib si hasi thi chehre par mano jabrdasti hasne ki kosis kar raha hai…. Apni badi aanken karte, chehre par ajib hasi ke sath .. Dhire se uss ladki se kaha…. “Tum yahan kya kar rahi ho”
Wo ladki do kadam pichhe hat’ti…. “Heyyyy raam” …. “Ye ab mujhe apne pass bhi nahi aane dena chahte”…..
Riti thodi gambhir hoti puchhne lagi… “Par aap hai kaun, aur kaun aap ko dur karna chahte hain” ?
Ladki… Main dukhiyari Sona hun, apni Abhi ki sona … Par ab mujhe hai hamesa ke liye sona.. Kyonki jis se pyar ki usse he kadar nahi meri. Hayooo rabba main kya karun.
Abhi ghurte huye Sona ko dekhne laga, mano kahna chah raha ho gusse me… “Chup ho jao nahi to achha nahi hoga”.
Vasu, Abhi ke najron ko bhanp gayi, jo sona ki ore gusse se ghur rahi thi…. “Tum usse aankhen kyon to dikha rahe ho, gardan niche karo, aur koi reaction nahi aap boliye sona ji, khul kar kahiye”..
Riti jab suni… “Abhi ki Sona” … Wo to bas gusse me hunkar bhadti ek baar Sona ki ore dekhi, aur phir apne bhayanak najron se Abhi ko dekhne lagi, mano kah rahi ho… “Abhiiiii… Aaj aap ki khar nahi”.
Abhi mann me sochta … Khub jamega rang, mil gayi do pagal jo meri Riti ko aaj mujh se dur kar degi.
Vasu… Harkaten ais hogi to milna kya iska chehra bhi nahi dekhenge…
Abhi hairani se … Mere mann ki baat iss Vasu ne kaise sun li, antaryami hai ya kisi baba ki cheli….
Par baat darasal ye thi ki, Vasu, Riti ka chehra dekh kar, wo usse satwana dene ke liye kah rahi thi. Teeno ke sath hone se, Abhi ko mehsus hone laga tha, aaj ho na ho teeno milkar uska tabiyat se class lene wali hai.