UPDATE -21
Shera haafte hue raghuvir ke kaksh me pahucha to raghuvir ji bole
Raghuvir- kya hua shera aise haaf kyu rahe ho
Shera- vo vo maalik chote maalik us se milne uske gaon gaye hai
Raghuvir- kis se milne or kis ke gaon khul ke bol na yu paheli kyu bujha raha hai
Shera – Arjun sharma se milne xxxpur uske gaon maalik maine bahut samjhaya per vo nahi maane
Raghuvir- acha to ye baat hai chal koi nahi to baki kaam dekh vo aa jayega apne aap
Shera- maalik shayad aap ne thik se suna nahi vo xxxpur gaye hai or aap aise baat kar rahe hai jaise kuch hua hi na ho
Raghuvir – tum nahi samhoge shera kyuki aaj vo hamare rok ne se bhi nahi rukta tum to bus itna samjh lo ki aaj Arjun sharma ke gadh me tufaan aane wala hai ab jao or kaam karo or haa kisi or se kuch mat kehna samjhe
shera- ji maalik samjh gaya
sir ko khujate hue shera waha se nikal gya baaki ke kaamo ko kar ne ke liye to wahi dusri taraf jab karan Arjun sharma ki haweli per pahucha to arjun ke saare aadmi use aankh faade dekh ne lage or vo mastaye hathi ki tarah gaadi se utra or ghar bhitar chal diya jise waha khade sabhi gunde ghur ne lage

Ae kaha chale aa rahe ho tum ruk jao wahi verna jaan se jaoge
karan ko sidha andar aate dekh ek chode jism ka admi use rokte hue bola
Karan – mehmaan ka suwagat aise karte hai kuch sikhaya nahi tu okmhare maalik ne tumhe haa bulao unhe tumhari sikayat karta hu
Admi- oo mehmaan ke bachhe ye xxxpur hai yaha sirf maut hi aati hai mehmaan nahi or shikayat karne ke liye tera zinda rehna bhi to jaruri hai jo tere tevar dekh kar mujhe nahi lagta ki tu jayda der zinda rahega esliye akhiri baar keh raha hu jaha se aaya hai wapas laut jaa
uska itna kehna use kitna bhaari pad ne wala tha ye vo bechara bhi nahi janta tha jo use jald hi samjh aaya jab karan ne uske usi hath ko pakad ke jad tak marode ke uske hath se apne baalo sawaar kar zameen per tadpne ke liye chhod diya to vo bechara niche gira sirf use ghur ne ke siva kuch na kar saka

karan – are bhai ghar me koi hai bhi ke nahi
To aa hi gya tu adat badli nahi teri padi ungli lene ki ( ghar ke galiyare se arjun ki awaaz aayi)
Karan – ab kya karu tujhe bada hote nahi dekh paaya to socha ab dekh lu ki kaisa lagta hai tu bachpan ke chot ke baad jo meri wajah se tere chahre per lagi thi per tu to sharma raha hai samne aane se bhi kahi muh dikhayi ka rivaaz to nahi hai na
Arjun- mashkari kar raha hai vo bhi jab pta hai ki tu kaha or kiske samne khada hai ( galiyare se apne kandhe per talwaar tangaye aata hua bola)

karan – aaahhh mein to dar gya waise tere baare me sunkar hi aaya hu ki tu kaise nihathe or masoom logo ko maut ke ghaat utaar ke ek khokla raja ban ne ke sapne dekh raha hai vo bhi es jokar ki posaak mein
Arjun- karan agar ghar me aaj khair jaa chala jaa kahi aisa na ho mein apna aapa khoo baithu or phir teri laash gidh khaaye
karan – nautanki aaj bhi teri filmo wali hi hai bus andaaz thoda badal gya hai per koi nahi mujhe us me intrest nahi hai mujhe to mitaali se mil na hai us mil lu phir chala jaunga waise vo hai kaha mitaali kaha ho ( jor se awaaz lagate hue )
Arjun – uska naam mat le kutte ke bachhe verna abhi zameen me gaad dunga samjha tu jaa aaj teri galti bakhs raha hu vo bhi sirf uski wajah se verna teri laash hi jaayegi yaha se
Karan – kya bol bachan karta rehta hai tu pehle bhi hila hua tha or aaj bhi hila hua hai ab hat samne se dekh mitaali aa gayi hai meri awaaz sun kar ( mitaali ko aata dekh kar bola)

Arjun – karan chala ja verna bahut pachtayega tu yaad rakhna( dheere se karan ko samjhate hue)
Karan – teri to tone hi badal gayi be jokar dekh khud ko kaise bhikh si maang raha hai per afsoos vo bhi tujhe nahi mil ne wali kyuki tu maane na maane vo meri hi hai or mere liye bani tabhi to aane se pehle hi sandesha mere paas bhijwaya us ne saale hey mitaali ( pyar se mitaali ko dekh kar aage badhte hue bola)
karan ki awaaz sunte hi mitaali ne muskura kar uski taraf dekhte hue boli

Mitaali- to mil gayi fursat janaab ko or yaha khade hue kya kar rahe ho aao na andar chalo bahut baate kar ni hai tumse
karan – yahi zid to Arjun bhaiya bhi kar rahe the to maine kaha abhi to aaya hu khoob baate hongi kyu Arjun bhaiya sach kaha na maine
Arjun ka bus chalta to abhi karan ka sir dhadh se alag kar deta per mitaali ke samne kuch na kar ska siwaye muskurane ke jis per mitaali boli
Mitaali – bhai aap baad me baat kar lena pehle hum kar lete hai pta nahi es ne hamare pith piche kya kya kiya hoga sab ka hissab bhi to lena hai na to agar aap kahe to hum inhe le jaaye
Arjun- haa haa gudiya kyu nahi waise tum ne ise pehchana kaise itne saalo baad
Mitaali- hum inse touch me the bhai or waise bhi babu ji inke hi naam to kar gaye the humein apni akhiri saanso me phir bhala hum inhe kaise bhulte or aap janaab ab aayenge hamare sath ya yahi khade rehne ka irada hai
Karan – haa chalo acha Arjun bhaiya milta hu aap se jald hi (mitaali ka hath thaame bhitar jaate hue)

dono ko andar jaate dekh Arjun ke saare admi jaha hairaan the to wahi Arjun ka jism aag me tap raha tha per es sab se anjaan mitaali karan ko apne kamre me le gayi jaha jaate hi vo karan ke gale lagte hue boli
Mitaali- bahut gande ho tum sach me akhir kyu milne nahi aaye itne saalo me mujhe yaa phir koi or mil gayi hai tumhe haa ab bologe kuch ya yuhi butt bane rahoge
Karan – pehle tumhe mehsoos to kar lu mitaali phir kuch or sochunga na
Mitaali – bus bus reh ne do itna pyaar karte na to itne saal khud se juda nahi karte pta bhi hai kaise kaate hai ye din maine
karan – sssssshhhhhh shant maine kaha na pehle mujhe tumhe mehsoos kar ne do plzzz
mitaali ko chup rehne ko bol kar pyar se uske gaalo ki taraf badh ne lga jis se mitaali ki dhadkan tez or ankhe band ho gayi jis ke hotho ke paas chum kar karan use pyaar se bola

karan – bahut pyari ho tum mitaali sach me vo to acha hai tumhare babu ji tumhe mere naam kar gaye verna vo jallad tumhara bhai to kabhi tumhare paas bhi na aane deta
Mitaali- he bhaiya hai vo mere or itne bure bhi nahi jitna tum samjh rahe ho
karan – vo chodo uska pta hai mujhe tum to mujhe gale se lga kar thoda sa pyaar de do bahut bechain hu mein
mitaali- he he bade aaye bechain ho ne wale yaad tak to karte nahi the ab inhe yaar chahiye lo bus ho gya ab baitho me kuch khane ko laati hu (pyar se gale lga kar karan ke hotho per chota sa chumban karte hue )