You dont have javascript enabled! Please enable it! Choti Si Bhool – Update 75 | Adultry + Romance - KamKatha
Choti Si Bhool - (Adultry + Romance) Story by jatin2121

Choti Si Bhool – Update 75 | Adultry + Romance

“Haan shaayad, par tum ye bhi to dekho ki jitna maal hum sanjana ka uda rahe hai, ushke aage ye kuch bhi nahi hai. aur ushki koyi aukaat bhale hi na ho par vo sanjana ka bahut khaas driver hai aur agar ushne sanjana ko sab kuch bata diya to hum kahin ke nahi rahenge, samajh rahi ho na tum”. —- suresh ne pinki ke haath ko chumte huve kaha.
“tumhaare liye ye kuch bhi nahi hai, par mere liye ye bahut badi kimmat hai, mai ush badshurat mote ke saath chii….soch bhi nahi sakti…. oh god ye mein kaun si musibat mein fans gayi” —- pinki ne apne chehre ko haatho mein chupa kar kaha
Suresh pinki ko samjhaane ki koshish kar raha tha, aur pinki suresh ko samjhaane ki koshis kar rahi thi.
parde ke peeche khade khade mai bahut thak chuki thi, par vaha ka naatak thamne ka naam hi nahi ley raha tha. mai soch rahi thi ki bekaar mein hum ish kamre mein ghusse, seedhe 103 mein chale jaate to acha hota.
Pinki ko aisi haalat mein dekh kar mujhe vo kahaavat yaad aa gayi ki…..“ jo inshaan dushro ke liye khadha khodta hai, ek din khud ushi mein girta hai ”. mujh se badla lene ke chakkar mein pinki khud barbaadi ki aur badh rahi thi.
Mujh se ye sab nahi shuna ja raha tha, maine dipti ko vahi rok kar kaha, “bas yaar aage mat shunaao, bahut bekaar lag raha hai sab kuch”
Par tabhi neha bol padi, “arey nahi ritu, bataane do na, denkhe to sahi ki jishne dipti ke saath itni badi saajish ki, ushka aage kya bana”.
Maine neha se kaha, “ dekho kisi ke dukh ko apne maje ke liye hargeez use nahi karna chaahiye. mujhe to nafrat hoti hai aisey logo se jo ** ki kahaaniya padh kar, ya ** ki video dekh kar khus hote hai”
“Ritu, mera aisa koyi maksad nahi hai, hum to sirf baate kar rahein hai, aur ye jaan-ne ki koshis kar rahe hai ki pinki ko ushke kiye ki saja kaise mili” —– neha ne gambhir chehra bana kar kaha
Tabhi dipti beech mein bol padi, “arey yaar bas karo tum dono”
Hum dono dipti ki awaaj shun kar chup ho gaye.
“Ritu, mai maanti hun ki tumhe ye sab shun-na acha nahi lag raha, par ye kahaani kuch samjha rahi hai, ishliye ishe pura shun lo, aadhe adhure se hum kisi bhi nateeje par nahi pahunch sakte” —-dipti ne meri aur dekhte huve kaha
Maine gahri saans ley kar kaha, hmm….. theek hai shunaao phir, mai shun rahi hun.
“Theek hai shuno phir”,—— dipti ne hum dono se kaha.
Dipti ke shabdo mein :———
Acha to mai kya kah rahi thi…. hmm….. haan yaad aaya,….. “ye sach hai ki inshaan ko ushke kiye ki saja ishi janam mein mil jaati hai. ishliye hamein hamesa hi ache karam karne chaahiye. hum koyi bhi galat kaam karke ushke parinaamo se nahi bach sakte hai. kabhi na kabhi hamein apne kiye ki saja jaroor milti hai”. aisa hi kuch pinki ke saath ho raha tha.
Suresh ne pinki ke sar par haath rakh kar ushke baalo ko sahlaate huve kaha, “dekho bas ek baar ki baat hai, vo ek baar kar lega to ushka muh khud-b-khud band ho jaayega aur kisi ko kuch bhi bataane ki haalat mein nahi rahega, ushke baad hamein ushe muh lagaane ki jaroorat nahi hai, theek hai na” ?
Pinki ne suresh ka haath thaam kar kaha, “par suresh mai kaise kar paaungi, mujh se nahi hoga, dekha hai na tumne ushe ? vo bahut hi bhayaanak hai. koyi aur rasta nikaalo na.

Please complete the required fields.




Leave a Comment

Scroll to Top