Ye Baahar kadi rone wai aur koi nahi Meera ki maa thi … jo pani peene uthi thi aur tabhi Nikhil ki chillakar Meera ko kosne ki awaaj unke kaano me padi … kul mila kar Meera ki Meera ki maa ne chand aisi baatein aaj sun hi li jisse unhe ” Meera ke pichhle 30 saalon ki naarkiya jindgi ahsaas ho chuka tha … ek aur hote huye huye wo Meera ki niji jindgi ke kalesh ko poori tarike se mahsoos kar sakti thi … Meera ne kabhi kuchh bhi nahi kaha apni muhh se … sab akeli sahti aur ghut ti rahi … ”
Meera ki maa 15 min tak apni jagah se hil bhi nahi payi… pal bhar me hi pichhle 30 saal ki sari ghatnayein Meera ki maa ki aankhon ke samne chal chitra ki tarah ghoom gayi …kitna royi thi Meera par kisi ne uski ek nahi suni thi … marte marte bachi thi phir bhi taras nahi khaya tha kisi ne uss par …
Meera ki shadi me Jab sirf 7 din bacha tha … Meera lash ki tarah rahne lagi thi … Virat ke ghar ke tale ko dekh shayad wo khamosh ho gayi thi… Meera ki mausi use apne sath Shopping karwane le gayi thi… Raat ko meera ko wahi rukna tha … ghar par sirf Meera ke papa aur mammi the…
Raat ke kareeb 11 baje achanak hi Meera ke ghar ka darwaja jor jor se peetne ki awaaj aayi … Meera ke papa ne jab darwaaja khola to samne behal sa Viraat khada tha … badhi huyi dadhi aur betarteeb bikhre baalon ko dekh kar ek baar to Meera ke papa use pahchan hi nahi paye … par agle hi pal use bahar dhakelte huye garje …
Meera ke papa — tu ???? Tu kyu aaya hai yahan … jata hai ya mai police ko phone karu …
Meera ke papa ke dhakke se Viraat girte girte bacha shayad ye kayi dino se dhang se naa khane ki kamjori thi …
Viraat — uncle ji please mujhe ek baar Meeru se milna hai … wo theek nahi hai … Mujhe andar se kuchh achh feel nahi ho raha hai …please uncle … usko bula dijiye … dekh kar chala jaunga …
Viraat ne haath jod kar nivedan ki kiya tab tak Meera ki maa behadd nafrat ke saath garji …
Meera ki maa — aji dekh kya rahe hain… lagaiye police ko phone … ye bahut bada dheenth hai aise nahi manega … bhikhari kahi ka chala hai Meera ke khwab dekhne… jab police ki lathiyan badan par padegi to sari romiogiri charbi ke saath nikal jayegi …
Meera ki maa ne muhh matka kar kaha…
Viraat — maar lijiye mujhe aunty par ek baar use bulaiye please … wo theek nahi hai … Mera dil kah raha hai … meri Meeru theek nahi hai … please aunty Use bula dijiye …
Viraat ne andar aate huye kaha … wo paglon ki tarah poore ghar me Meera ko aankhon se hi khojne ki koshish kar raha tha …
Meera ke papa — Are andar kahan jaa rahe ho … niklo bahar … turant nikalo …
Viraat — usse dekhe bina kahi nahi jaunga … wo theek nahi hai … meri Meeru theek nahi hai … mera dil kah raha hai use takleef ho rahi hai …
Viraat Meera ke kamre ki ore badh gaya… tab tak Meera ki maa police ko phone laga bhi chuko thi …
Meera ki maa — sir ye gunda hamare ghar me ghus aaya … dekhiye poore ghar me tod fod kar raha hai … meri beti ke kamare me jane ki koshish kar raha tha … mere bimaar pati ne roka to unko dhakka de diya … bataiye inko kuchh ho jata to … please hame bacha lijiye warna ye hame maar dalega …
Meera ki maa ki shikayat par palak jhapkte hi police ki petroling gadiyan aakar khadi ho gayi… ek khurrat ins aur 4 mustande jaise sipahi Viraat ko ghar se b bahar ki taraf ghaseetne lage … Viraat ne turant haath jod kar apni baat kahi …
Viraat — sir please meri baat suniye ek baar use baahar bula dijiye … usko kuchh ho gaya hai … Ye log use chhipa kar rakhe hain… please…
Lekin police wale par Viraat ki baat ka koi asar nahi hua kyu ki meera ki maa ke haathon me lifafe ko dekh wo rakshak se bhakshak ban chuka tha … uski polisia khookhar naak hari pattiyon ki khushboo sunghte hi apni insaniyat ko sadak par neelam kar chuki thi …
police — teri aashiqi to aaj thane me nilalte hoon mai bachu … abe le jao re ise … aur madam aap nishchint rahiye madam ye abb kabhi tang nahi karega aapko …
Police wale ne palak jhapkte hi noto se bhare lifafe ko apni jeb ke hawaale kar diya …
Viraat ki maa aur papa bhi aa gaye … Viraat ke papa police wale se Viraat ko chhudane ki baat karne lage jabki uski maa ne Meera ki maa ke samne Viraat ko maaf karne ki bheekh magne lagi yahan tak ki unke chaukhat par haath jod kar baith gayi lekin Meera ki maa ne muhh fer liya … Viraat ne apni maa ko aise chaukhat par baithe dekha to cheekh kar apni maa ki taraf bhaga …
Lekin jiska dar tha wahi hua … police wala apni gairat to bench hi chuka tha … usne aaw dekha na taaw Viraat ke shareer par dando ki barsaat kar di … wo bhi poori takat se … aur use 4 police wale mil kar ghaseet te huye jeep tak le gaya … Viraat dard se karahta raha par kabhi Meera ke kamre ki balcony to kabhi chukhat par haath jod kar tadpati apni maa ko dekhta raha …
Viraat ko maar khata dekh uski maa ka kaleja fatt gaya … jis aulaad ki khushi aur hifajat ke liye wo itne dino se isi chaukhat par uski khushi ki bheekh maang rahi thi wahi apne bete ke dard ko dekh apna aapa kho baiti aur tadap kar rah gayi thi… wahan se wo sabhi to police station chale gaye lekin sabhi ke jane ke baad Meera ki mausi ko call kiya meera ki maa ne to pata chala ki Meera ne chhat se kood kar khud ko buri tarah nuksan pahuchane ki koshish ki thi …
Aaj Meera ki maa ko ek ek baat yaad aa rahi thi aur unki aakhon ke samne Viraat ka tadpta hua chehra ghoom gaya tha … Viraat ki awaaj ki tadap aaj Meera ke maa ke kaano me 30 saal baad goonjne lagi … Viraat ka Meera ke liye niswaarth pyaar Meera ki maa ke ahankaar ko kuchal kar khaa gaya tha … Meera ki maa rote huye wahi hall ke sofe par dher ho gayi isa baat se poori tharah anjaan ki ” wakt ne karawat le li hai … pasa palat chuka hai aur ye aansu uski pahli kisht hain …”