Tabhi Ashna ne pucha: kaka neeche ki tarah Yahan bhi Har kamrey per taala kyun hai? Bihari: Virender babu ka adesha hai. Saare room haftey main ek hi baar khultey hai wo bhi sirf safai ke liye. Ashna: kaka kya sara ghar aap akele saaf kartey ho. Bihari: nahin bitiya main to Virender babu ji ka raosiya hun aur kabhi kabhi unka kamra saf kar leta hun kyunki unke kamrey main jane ki kisi aur koijazat nahin. Baki ka ghar saaf karney ke liye 3noukar hain jo pehle yahin peeche servant quarters main rehte they per ab virender babu ke kehne per yahin paas main he rehte hain. unke rehne ka saara kharcha Virender babu he dekhta hain. wo haftey main ek baar aker bahar swimming pool, lawn aur baki kamroon ki safai kar dete hain.
Ashna:hummmmm. Acha kaka bahut bhukh lagi hai, aap jaker khana le aao. Bihari: ji bitiya per Virender babu ji ke aane ke baad apko he jawab dena padega ke aap unke room main kyun thehri hain. Ashna: aap chinta na karen. Main unhe kal he yahan le ayungi aur hum milker yahan unka dhayan rakhengi. Bihari kaka ne yeh jab suna ke Virender babu kal a rahe hain to khushi se unki aankhen chamak uthi aur Ashna se puch ke Kye tum bhi yahi rukogi unka khayal rakhne ke liye. Ashna ne haan main sir hilaya. Kaka: jeeti raho beti, muje nahin pata ke tum Virender babu ko kaise janti ho per yeh wishwas ho geya ke ab wo puri tarah se theek ho jayenge. Yeh kehker Bihari neeche khana lene chala geya. Ashna ne pura kamra bade gour se dekha. Har ek cheez kareene se sazi hui. Ashna ne LCD on ki usper Star sports channel chal rah tha. Ashna wahin bed per baith gei aur charoon taraf dekhne lagi. Uski nazar bed post par padi diary per padi. Wo jaise he use uthane ke liye bed se uthne lagi tabhi Bihari kaka khane ki trey liye kamre main aaye. Ashna wahin bethi rahi. Kaka ne khana parosa. AShna: kaka aap bhi kha lijiye kuch der baad bartan lejaiyega. Bihari neeche chala geya.
Ashna ne khana khaya. karib adhe ghantey ke baad Bihari ne room knock kiya. Ashna: aa jaiye kaka. Bihari andar aaya aur bartan uthane laga. Ashna: Kya Virender ji sports channel pasand karte hain. Bihari: bitiya bhaiya ko car racing aur WWF bahut pasand thi per us hadsey ke baad to wo sab kuch bhul he gey. Aaj 8 saal baad aap ne yeh TV on kiya hai. Bihari: accha bitiya ab aap aram karo main bartan saf karney ke baad aone kamrey main so jaunga. Kisi cheez ki zaroorat ho to muje bula lena. Ashna: jee kaka. Bihari kaka: per bitiya aap apne sath koi bag to layi nahin to kya aap yahi pehan ke so jaogi. Ashna: ji kaka aaj manage kar lungi, kal kuch shopping kar lungi. Bihari: bitiya wiase Madhu (Virender ki choti behan jo accident main mari gei thi) mem sahab ki almari kapdoon se bhari padi hai per agar maine usmain se apko kuch de diya to ko bura lag sakta hai.Ashna: koi baat nahin kaka, aaj ki raat main mnage kar lungi. Kaka ne Almari se Ashna ko ek quilt nikal ke diya aur wo neeche chale gey. Ashna ne andar se darwaza band kiya aur apni jacket utar di. Fir usne diary uthai aur bed per baith gei. usne pillows ko bed post per khada karke usse tek laga ker apne uper quilt le liya. Naram mulayam quilt ke garam ehsaas se wo ek dum romanchit ho gei. Usne diary uthaker cover khola, pehle page per Virender ki sari details thi Jaise naam, adress, contact no. etc etc. Wo agla page paltne wali thi ke uski nazar page ke last main padi. Wahan likha tha “With love from Rupali to Viru.” Yeh line padte he Ashna ke dil ki dhadkaneen tez ho gei. Yeh Rupali kona ho sakti hai uske man main sawal aaya. Kahir agla panna paltne se pehle ashna ne quilt ke andar he apni pant aur t-shirt utar ker ek side rakh di kyunki wo kafi uncomfortable feel kar rahi thi itne tight kapdoon main. Apne aap ko puri tarah quilt se cover karne ke baad usne diary padna shuru kiya.