update 87
Ab aagee
………………..
“Chacha ji chacha jii…”priya kundi khadkati bolii….
Chat p chacha te toh wo upar…”ruk beti aata ahu….”
“Wo baua hai chacha …”…priya neeche se hi puchti hai..
“Na wo toh din me v nai aaya koii baat hai kya..ruk mai aata hu..”
“Beta chal neeche darwaja band kar lena…mai dekhu baat kya hai..”
Wo chalte huwe neeche aaye darwaja khola toh ramesh aur priya tii…
“Kaha gaya ta wo ….”
“Kuch bata kar nai nikla dophar se hi ghaar nai gaya….”priya bas bechain bolti hai
“Aur kisi sse kuch khabar milli ya nai..”chacha …sandhaya jara tourch lakar de to aur darwaja laga lee…”
Sandhya andar torch laane chali gaii..
“Wo sam ko toh bagichee me ta apnee par uske baad ka pata naii…”
“Ha bau ji ye lijiye …”sabdhya torch pakrati bolii..
“Darwaja laga lo…”
Wo sanju ko khojnne nikal paree ramesh aur priya k sath raste p dekh dekh kar chalna par raha ta jagah jagah taati ki gaii tii…
“Sambhal k beta kambakto ko rasta b nai chora jata ..nai ho dhyan sse chaloo..”
Priya toh in pagdanndiyo aur kachi rasto ko bachpan se jantii tii..toh usse koi paresani nai ho raii ti andhere me v par ramesh kai baar larkhara jata..
“Fudun babu k yaha dekh aayi ti..beta….”
“Nai chahcha udhar toh nai gaii …chaupal p dekh li aur gav se to ho kar hi aa rai hai bhaiya aur maii..”
“Kuch baat hui hai kya…”
“Wai hamse narajgi uski chacha pata nai kab khtam hogii…” ramesh bolla ..
“Ho jaiegi beta ho jaiegi bas wo jada dimag nai chalata.. hai toh bhaiya aur bhabi ka hi beta par gaya bhaiya p nai apni maa p haii..”
Priya aur ramesh has diyee..
“Fudun babu o fudun babu..”
“Ka hai ho…aawa baitha…aree ramesh beta b hai aur priya b …aao aao..”
“Aree nai chacha ham to sanju ka puchne aaye haii..wo idhar aaya hai kya maa paresan haii..”
“Na idhar toh nai aaya par sam ko devi asthan ki traf ja raha ta ..dekh lo waise raat ko waha hota toh koi naii”
Sanju ki leete leete ankh lag gaii tii…chehre par muskan liye ye b hosh nai ta kitna samai nikal gaya haii..
Tabhi ek lath uske pett me kass k lagii…
Dard se bill billa kar utha toh dusre lathi ka prahar uske sar p huwa par hath bich me la sanju ne rook liya..aur lathi khichte huee ek k pair me kas k mara..toh wo aundhee muhh girr para…..
Aglee ne fir lathi se uske sar ka nisana liya par wo teji palate huwe pichee ki orr lapka jisse war khali ho gaya …sallo maro na muh kya dekh rai ho bach gaya toh .. krishna nai chorrega…
Wo sab ek sath tutt paree..
Sanjuu unke war ko rokh raha ta .. tabhi ek ne uske pair me mara toh wo ghutno k ball agge ko girra ….
Tabhii usse wo larkii dekhii dinn walii..jo apni saheli k sath hi ussi traf se ho kar ja raii tii..usne dekha toh wo jaldi se bhagii chillatii…
Aur idhar sanju tohh uss larki ko dekhne me hi kho gaya ki sar p kab lath aa kar lagii..pata. b nai chala..aankhe band hotii challi gaii..aur sarir p kitne lathi paree iski toh ginti b na rahi..
Larki ki chik sunn ramesh aur chacha uss traf dauree…
“Kya bat hai …tu chik kyu raii haii…”
“Wo..wo udhar ek larke ko teen char admi maar rai haii..”
Ramesh nahar me kudd kar jaldi jaldi tayar kar par kiya chacha b pichee kudd gaii priya khari muh taktii rah gaii…tairna b nai aata ta wo pull ki traf lapkii daurtee huwee…
Sath me wo larki b
“Kaat daal sar salle ka iske bans ko hi khatm kar dena haii….”
Usne talwar uthai hi ti ki ek tejj lathi lahrati huii aa kar hatho lagii….ramesh pani se bhinga samne aa gaya aur jhat lathi utha li…
“Are dekh kya raha hai khatm kar isse v dono ka kriya kram aaj hi ho jaiyee…”
Ramesh b un par tut para …par sanju se larna ramesh ki tulna me asan ta kyuki ye tha v trend jald hi chacha b pahuche ..wo b lathi le tut paree…
İdhar mandir ki sidhiya sanju k khun se laal hoti chali ja raii tii..
Soor gull sunn gav walle udhar badhee hi the ki …”bjaag bee gaav vale aa rai haii…”
“Abe ruuk bhagta kha hai ramesh unke piche daura …”