Update 16
Subh 6 baje hum sab uthe ghar bhi pochna tha toh sab tyar huye aur maine Sameer ne ek cab book kar Suman Jasika ko ghar bejh diya Jasika toh meri dewani ho gyi thi uss ne mera number liya aur ek kiss de chali gyi
Hum bhi waha se nikal gye ghar ke liye jab ghar poche toh 7 baj gye the Mummy aur Chachi ko chhod sab room me the hum me jaa hi rahe the ke Mummy aur Chachi ne dekh liya
Mummy:*kaha the tum dono raat ko aur phone kyo band tha
Sameer:*woh Mummy mere friend kaa birthday tha iss liye wahi gye the
Chachi:*chhodo Bhabhi aap ko pata hai raat ko ghar se bahar ladke kya karte hai apna dhayan rakhna Beta koi bhi nasha nhi karna
sameer:*thanxx Chachi
Uske baad main apne room me aaya aur jaldi se college ke liye tyar ho gya jab main hall me aaya toh teeno Ladkiyo ke muh gusse se laal the mere aate hi sab khana khane lage Khana hone ke bad main Sameer bahar aaye thodi der me Payal aur Juhi bhi aa gya hum college ke liye nikal gye
College par kar ke main jaise hi niklne ko hua ke Payal meri window ke pas khadi ho gyi aur idhar udhar dekh kar darwaja khola main bas muskurs diya tabhi waha Priya aa gyi jo thodi preshan thi
Main;*hello Priya kya hua preshan lag rahi ho
Priya:*nhi Mohit g aisi koi baat nhi
Payal:*koi preshani hai Priya bolo bhi
Priya’*woh Mummy ki tabiya teek nhi hai aur fir itne paise bhi nhi unki health aur meri padai ho iss liye main college chodna chahti thi taki unki help kar sako
Payal:*paise ki jarurt hai mujhse le lo tumhre Papa naa hone se tumhri ghar ki halat kharab hai uper se teri Behan kaa kharcha bhi hai
Priya:*nhi nhi yar aisa nhi hai bas main college chhod koi job dekh lugi fir sab teek ho jaye gaa
Main:*kya Priya itni choti si baat ko lekar preshan ho vaise Mummy ke bare me sun kar dukh hua par tumhe college chodne ki jarurt nhi Sameer
Sameer:*yeh lo Priya mera card aaj 2 baje baad hamre sath chlna tumhe job mil jaye gyi 2 se 8 part time job karna aur padai bhi teek hai
Main:*ab toh muskura do yeh udasi tumhre chehre par achi nhi lagti
Priya:*thanx Mohit ji
Uske baad woh class me chali jati hai hum bhi apni class ko nikal jate hai jab hum class me poche toh waha aaj bhi class bhari padi huyi the ke aur aaj bhi ek Kajal ke pas toh ek uss anjan Ladki ke pas jagah baki thi
Main:*le Bhai ho gyi gadbadh ab
Sameer:*aaj toh
Main:*tu rehne de
Main uss unknow Ladki ke pas jakar
Main:*plss aap piche baith sakti hai
Meri baat sun Kajal kaa chehra utar gya maine jab dekha toh main fatak se uss Ladki ke utne se pehle main baith gya Kajal ke pas
Main;*Sameer aage baith jaa koi nhi main teek hu
Wahi jis Ladki ko bola tha woh bhi khush ho gyi
Main:*good morning Kajal
Kajal:*good morning Mohit
Main:*khubsurt lag rahi ho aaj
Kajal:*hahaha trif ke liye sukriya jhooti hi sahi
Main:*sach me yar khubsurti kapde yaa bahari mekup me nhi hoti woh toh kudrat se milta hai jo tumhe mili hai tumhri smile me
Kajal:*thanxx Mohit
Tabhi Madam aa gyi hum sab Madam ki class aur baki ki class lagyi Hafe time me Kajal jane lagi sayad koi friend nhi thi uski
Main:*Kajal kaha jaa rahi ho chlo hamre sath canteen
Kajal:*nhi nhi main park jaa rahi hu wahi lunch karo gyi main sath lekar aati hu
Main:*toh yar hamme bhi apne ghar kaa khana khila dena ab chlo bhi
Sameer bhi uss Ladki ke sath bg tha
Kajal:*teek hai chalo
Main aur Kajal jab Sameer ki tarf huye toh woh apas me magan the
Main:*ab chle yar canteen
Sameer:*haa chl aur iss se mil yeh hai Amita aur Amita yeh mera Bhai Mohit
Amita:*kon nhi janta topper hai
Main:*nice meet to u Amita chlo tum bhi hamre sath canteen aur yeh hai Kajal
Sabhi mil kar canteenaa gye par jaise hi main enter hua maine apna matha peet liya kyoki samne Urvi thi aur uske pas wale table par Payal aur Juhi Mujhe dekh Urvi aakar mere gale lag gyi sabhi ke samne
Urvi:*kaha tha mera Babu jante ho kitna miss kiya maine apne Babu ko
Maine jaldi se Urvi ko dur kiya par tab tak der ho gyi thi unho ne dekh liya tha
Main:*Urvi har chiz ki hadh hoti hai aur ab tum woh cross kar rahi ho
Urvi:*pyar sari hadho ke bahar hota hai Babu
Main:*bahut hua tumhra bachpana aab mujhse aisi harkat ki toh dekh lena
Urvi:*kya soch rahe ho tumhri dhakmkiyo se dar jao gyi no never
Urvi apni baat keh kar chali gyi wahi Payal aur Juhi bhi chli gyi thi Hum sab ek table par baith gye Kajal mere pass baithi thi ke tabhi Urvi fir aa gyi
Urvi:*(Kajal ki tsrf ugli kar) yeh kon hai Babu chhodo jo bhi ho aur tum (Kajal) meri baat kaan khol sun le jada mere Babu ke pss gyi toh Jaan se maar dugi samjhi
Kajal toh muh khole dekh rahi thi par Urvi chli gyi waha se apne dosto ke sath chali gyi wahi main baith gya Kajal hairan thi ho kya raha tha uske sath
Main:*sorry Kajal pagal hai uski baato par dhyan naa do main hu tumhre sath okk tumhe koi hath bhi nhi laga sakta
Sameer:*haa Kajal woh thodi mental hai aur Mohit ke piche padi chhodo use baato kya kho gyi
Kajal:*maine batya tha naa main khana lekar aayi hu
Main:*toh hamne kab kaha ke hum apne liye khane ko manga rahe ham teri baat kar rahe hai oder do jakar hum tumhra khana khaye gye
Kajal:*par….
Sameer:*koi par war nhi chup chap oder do samjhi Kajal toh vaise hi darti thi Sameer se iss liye oh chup chap ek patty oder karti hai
Sameer:*yeh kya tha issi liye sukh kar kaata huyi hai tu ruk Aur Sameer uth kar jata hai aur waha aur sab kuch utha lata hai
Sameer:*sab kahna hai
Ab bechari marti kya naa karti chup khati wahi main sif muskura raha tha par jab dekha Kajal kaa ho gya toh woh khatam karne me help karta uske baad fir dono chale jate hai class me par iss bar class me Sameer Kajal ke pas baith jata hai aur Mohit aage
aur aise hi class nikal jati hai Chhuti time Kajal ko bye bol dono office ko nikal jate hai priya ko sath lekar Sameer uper jata hai aur kam me lag jata hai wahi main apne room me aa gya sahid hone Mujhe pata tha yaha mera kis se samna hoga aur hua bhi wahi samne hitler khadi thi
Tanu:*mere cabin me aao
Marta kya naa karta main cabin me aa gya
Tanu:*kaha the kal
Main:*tumhe kya lena dena apna kaam karo main jaha marji rahu
tannu:-maine jitna pocha hai utna baato
main :-hadd hai dost ki party me tha bas
Tanu:*tumhe aaye kuch din huye hai fir kis friend ki party me the
Main:*sorry mere nhi Sameer ke dost kaa birthday tha
Tanu;*main nhi janti kisi ko jiska kal birthday ab chup chap baato kaha the tum
Main toh aise hi tang aa gya tha Tanu Didi ki baar baar bolne se iss liye main gusse se Didi ke samne khada ho gya
Main:*tumhri problem kya hai main jaha marji jao jo marjo karo tumhe kya matlb
Tanu:*apna gussa dikha tum Mummy Papa ko dara sakte ho mujhe nhi samjhe ab chup chap baato kaha the Suman ke pas the naa
Main:*nhi main kisi aur ke pas tha
Tanu:*yani Sameer Bhaiya bhi tumhre sath the
Main:*nhi woh nhi the main ekla tha
Tanu:*tum sudhar nhi sakte
Main:*nhi
Tanu:*last warning de rahi hu ab kisi Ladki ke sath suna naa toh dekhna
Main:*sun lo miss Tanu Ladkiya meri deewani hai main unhe nirash nhi kar sakta
aur vaise bhi Awara ek jagah nhi rukta
Tanu waha se gusse se chli gyi main kam karne laga ke saam ko sab ko top floor bulya gya mujhe bhi main bhi uper aa gya Hall me dad baithe Tanu Sameer aur Suman aa gyi
Suresh:-kal party hai sab ko invite kar diya hai tum sab bhi kar do baki kam bhi maine kara diya kal sab chutti par rah kar kal kaa kam pura kar dena ghar par reh kar
Sameer:* Papa party bahut achi hogi tension naa lo
Suresh:*mere Bete ke aane ki khushi me hai dhamal toh honi hi chahiye